Faiz Ahmed Faiz Poetry

sach hai humeen ko aap ke shikwe baja na the


sach hai humeen ko aap ke shikwe baja na the

sach hai humeen ko aap ke shikwe baja na the
be-shak sitam janab ke sab dostana the

haan jo jafaa bhi aap ne ki qaayede se ki
haan ham hi kaarband-e-usool-e-wafa na the

aaye to yun ki jaise hamesha the meherbaan
bhule to yun ki jaise kabhi aashna na the

kyun daad-e-gham humeen ne talab ki bura kiya
ham se jahaan mein kushta-e-gham aur kya na the

gar fikr-e-zakhm ki to khata-waar hain ki ham
kyun mahw-e-madh-e-khoobi-e-tegh-e-ada na the

har chaaragar ko charagari se gurez tha
warna hamein jo dukh the bahut la-dava na the

lab par hai talkhi-e-may-e-ayyaam warna faiz
ham talkhi-e-kalaam pe maail zara na the 
----------------------------------------
सच है हमीं को आप के शिकवे बजा न थे
बे-शक सितम जनाब के सब दोस्ताना थे

हाँ जो जफ़ा भी आप ने की क़ाएदे से की
हाँ हम ही कारबंद-ए-उसूल-ए-वफ़ा न थे

आए तो यूँ कि जैसे हमेशा थे मेहरबाँ
भूले तो यूँ कि जैसे कभी आश्ना न थे

क्यूँ दाद-ए-ग़म हमीं ने तलब की बुरा किया
हम से जहाँ में कुश्ता-ए-ग़म और क्या न थे

गर फ़िक्र-ए-ज़ख्म की तो ख़ता-वार हैं कि हम
क्यूँ महव-ए-मद्ह-ए-खूबी-ए-तेग़-ए-अदा न थे

हर चारागर को चारागरी से गुरेज़ था
वर्ना हमें जो दुख थे बहुत ला-दवा न थे

लब पर है तल्ख़ी-ए-मय-ए-अय्याम वर्ना 'फ़ैज़'
हम तल्ख़ी-ए-कलाम पे माइल ज़रा न थे

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 69