Faiz Ahmed Faiz Poetry

guzar rahe hain shab o roz tum nahin aati


guzar rahe hain shab o roz tum nahin aati

guzar rahe hain shab o roz tum nahin aati
riyaaz-e-zeest hai aazurda-e-bahaar abhi
mere khayal ki duniya hai sogwaar abhi
jo hasratein tire gham ki kafeel hain pyaari
abhi talak meri tanhaaiyon mein basti hain
taveel raatein abhi tak taveel hain pyaari
udaas aankhen tiri deed ko tarasti hain
bahaar-e-husn pe paabandi-e-jafaa kab tak
ye aazmaaish-e-sabr-e-gurez-paa kab tak
qasam tumhaari bahut gham utha chuka hoon main
galat tha daava-e-sabr-o-shakeb aa jaao
qaraar-e-khaatir-e-betaab thak gaya hoon main 
----------------------------------------
गुज़र रहे हैं शब ओ रोज़ तुम नहीं आतीं
रियाज़-ए-ज़ीस्त है आज़ुरदा-ए-बहार अभी
मिरे ख़याल की दुनिया है सोगवार अभी
जो हसरतें तिरे ग़म की कफ़ील हैं प्यारी
अभी तलक मिरी तन्हाइयों में बस्ती हैं
तवील रातें अभी तक तवील हैं प्यारी
उदास आँखें तिरी दीद को तरसती हैं
बहार-ए-हुस्न पे पाबंदी-ए-जफ़ा कब तक
ये आज़माइश-ए-सब्र-ए-गुरेज़-पा कब तक
क़सम तुम्हारी बहुत ग़म उठा चुका हूँ मैं
ग़लत था दावा-ए-सब्र-ओ-शकेब आ जाओ
क़रार-ए-ख़ातिर-ए-बेताब थक गया हूँ मैं


Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 56