Jaun Elia Poetry

main shaayad tumko yaksar bhoolne waala hoon


main shaayad tumko yaksar bhoolne waala hoon

shaayad
main shaayad tumko yaksar bhoolne waala hoon
shaayad jaan-e-jaan shaayad
ki ab tum mujhko pehle se ziyaada yaad aati ho

hai dil gamgeen bahut gamgeen
ki ab tum yaad dildaaraana aati ho

shameeme door maanda ho
bahut ranjeeda ho mujhse
magar phir bhi
mashaame jaan mein mere aashtee mandaana aati ho
judaai mein bala ka iltefaate muhrimaana hai
qayamat ki khabargiri hai
behad naaz bardaari ka aalam hai

tumhaara rang mujh mein aur gehre hote jaate hain
main darta hoon
mere ehsaas ke is khwaab ka anjaam kya hoga
yah mere androone zaat ke taaraaj gar
jazbon ke beri waqt ki saazish na ho koi

tumhaare is tarah har lamha yaad aane se
dil sehama hua sa hai
to phir tum kam hi yaad aao
mata-e-dil mataa-e-jaan to phir tum kam hi yaad aao bahut kuchh bah gaya hai seelain maah wa saal mein ab tak
sabhi kuchh to na bah jaaye
ki mere paas rah bhi kya gaya hai
kuchh to rah jaaye
-----------------------------------------
"शायद"
मैं शायद तुमको यकसर भूलने वाला हूँ
शायद, जान-ए-जाँ शायद
कि अब तुम मुझको पहले से ज़्यादा याद आती हो

है दिल ग़मगीं, बहुत ग़मगीं
कि अब तुम याद दिलदाराना आती हो

शमीमे दूर मान्दा हो
बहुत रंजीदा हो मुझसे
मगर फिर भी
मशामे जाँ में मेरे आशती मंदाना आती हो
जुदाई में बला का इल्तिफ़ाते मुहरिमाना है
क़यामत की ख़बरगिरी है
बेहद नाज़ बरदारी का आलम है

तुम्हारा रंग मुझ में और गहरे होते जाते हैं
मैं डरता हूँ
मेरे एहसास के इस ख़्वाब का अंजाम क्या होगा
यह मेरे अंदरूने ज़ात के ताराज गर
जज़्बों के बेरी वक़्त की साज़िश न हो कोई

तुम्हारे इस तरह हर लम्हा याद आने से
दिल सहमा हुआ सा है
तो फिर तुम कम ही याद आओ
मता-ए-दिल, मता-ए-जाँ तो फिर तुम कम ही याद आओ बहुत कुछ बह गया है सीले माह व साल में अब तक
सभी कुछ तो न बह जाए
कि मेरे पास रह भी क्या गया है
कुछ तो रह जाए

Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 37