Sahir Ludhianvi Poetry

tere honton pe tabassum ki vo halki si lakeer


tere honton pe tabassum ki vo halki si lakeer

hiraas
tere honton pe tabassum ki vo halki si lakeer
mere takhyul mein rah rah ke jhalak uthati hai
yoon achaanak tire aariz ka khayal aata hai
jaise zulmat mein koi shamaan bhadak uthati hai

tere pairahan-e-rangeen ki junoon-khez mahak
khwaab ban ban ke mere zehan mein lehraati hai
raat ki sard khamoshi mein har ik jhonke se
tere anfaas tire jism ki aanch aati hai

main sulagte hue raazon ko ayaan to kar doon
lekin un raazon ki tashheer se jee darta hai
raat ke khwaab ujaale mein bayaan to kar doon
un haseen khwaabon ki taabeer se jee darta hai

teri saanson ki thakan teri nigaahon ka sukoot
dar-haqeeqat koi rangeen sharaarat hi na ho
main jise pyaar ka andaaz samajh baitha hoon
vo tabassum vo takallum tiri aadat hi na ho

sochta hoon ki tujhe mil ke main jis soch mein hoon
pehle us soch ka maqsoom samajh loon to kahoon
main tire shehar mein anjaan hoon pardesi hoon
tere altaaf ka mafhoom samajh loon to kahoon

kahi aisa na ho paanv mere tharraa jaayein
aur tiri marmariin baanhon ka sahaara na mile
ashk bahte rahein khaamosh siyah raaton mein
aur tire reshmi aanchal ka kinaara na mile
----------------------------------------------
हिरास
तेरे होंटों पे तबस्सुम की वो हल्की सी लकीर
मेरे तख़्य्युल में रह रह के झलक उठती है
यूं अचानक तिरे आरिज़ का ख़याल आता है
जैसे ज़ुल्मत में कोई शमां भड़क उठती है

तेरे पैराहन-ए-रंगीं की जुनूं-ख़ेज़ महक
ख़्वाब बन बन के मिरे ज़ेहन में लहराती है
रात की सर्द ख़मोशी में हर इक झोंके से
तेरे अन्फ़ास तिरे जिस्म की आंच आती है

मैं सुलगते हुए राज़ों को अयां तो कर दूं
लेकिन उन राज़ों की तशहीर से जी डरता है
रात के ख़्वाब उजाले में बयां तो कर दूं
उन हसीं ख़्वाबों की ताबीर से जी डरता है

तेरी सांसों की थकन तेरी निगाहों का सुकूत
दर-हक़ीक़त कोई रंगीन शरारत ही न हो
मैं जिसे प्यार का अंदाज़ समझ बैठा हूं
वो तबस्सुम वो तकल्लुम तिरी आदत ही न हो

सोचता हूं कि तुझे मिल के मैं जिस सोच में हूं
पहले उस सोच का मक़्सूम समझ लूं तो कहूं
मैं तिरे शहर में अंजान हूं परदेसी हूं
तेरे अल्ताफ़ का मफ़्हूम समझ लूं तो कहूं

कहीं ऐसा न हो पांव मिरे थर्रा जाएं
और तिरी मरमरीं बांहों का सहारा न मिले
अश्क बहते रहें ख़ामोश सियह रातों में
और तिरे रेशमी आंचल का किनारा न मिले


Poet - Sahir Ludhianvi
Location: Ludhiana, India
Views: 49