Sahir Ludhianvi Poetry

log aurat ko faqat jism samajh lete hain


log aurat ko faqat jism samajh lete hain

log aurat ko faqat jism samajh lete hain

log aurat ko faqat jism samajh lete hain
rooh bhi hoti hai us mein ye kahaan sochte hain

rooh kya hoti hai is se unhen matlab hi nahin
vo to bas tan ke taqaazon ka kaha maante hain

rooh mar jaate hain to ye jism hai chalti hui laash
is haqeeqat ko na samjhte hain na pahchaante hain

kitni sadiyon se ye vehshat ka chalan jaari hai
kitni sadiyon se hai qaaim ye gunaahon ka rivaaj

log aurat ki har ik cheekh ko naghma samjhe
vo qabeelon ka zamaana ho ki shehron ka rivaaj

jabr se nasl badhe zulm se tan mel karein
ye amal ham mein hai be-ilm parindon mein nahin

ham jo insaano ki tahzeeb liye firte hain
ham sa wahshi koi jungle ke darindon mein nahin

ik bujhi rooh lute jism ke dhaanche mein liye
sochti hoon main kahaan ja ke muqaddar phoroon

main na zinda hoon ki marne ka sahaara dhoondhoon
aur na murda hoon ki jeene ke ghamon se chhootoon

kaun batlaayega mujh ko kise ja kar poochhun
zindagi qahar ke saanchon mein dhalegi kab tak

kab talak aankh na kholega zamaane ka zameer
zulm aur jabr ki ye reet chalegi kab tak

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya
jab jee chaaha masla kuchla jab jee chaaha dhutkaar diya
tulti hai kahi deenaaron mein bikti hai kahi bazaaron mein
nangi nachvaaii jaati hai ayyaashon ke darbaaron mein
ye vo be-izzat cheez hai jo bat jaati hai izzat-daaron mein
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya

mardon ke liye har zulm rawa aurat ke liye rona bhi khata
mardon ke liye har aish ka haq aurat ke liye jeena bhi saza
mardon ke liye laakhon sejen aurat ke liye bas ek chitaa
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya

jin seenon ne in ko doodh diya un seenon ko bevepaar kiya
jis kokh mein in ka jism dhala us kokh ka kaarobaar kiya
jis tan se uge konpal ban kar us tan ko zaleel-o-khwaar kiya
sansaar ki har ik be-sharmi gurbat ki god mein palati hai
chaklon hi mein aa kar rukti hai faaqon se jo raah nikalti hai
mardon ki havas hai jo akshar aurat ke paap mein dhalti hai
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya

aurat sansaar ki qismat hai phir bhi taqdeer ki heti hai
avtaar payambar jantee hai phir bhi shaitaan ki beti hai
ye vo bad-qismat maa hai jo beton ki sej pe leti hai
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya 
----------------------------------------------------------
लोग औरत को फ़क़त जिस्म समझ लेते हैं

लोग औरत को फ़क़त जिस्म समझ लेते हैं
रूह भी होती है उस में ये कहां सोचते हैं

रूह क्या होती है इस से उन्हें मतलब ही नहीं
वो तो बस तन के तक़ाज़ों का कहा मानते हैं

रूह मर जाते हैं तो ये जिस्म है चलती हुई लाश
इस हक़ीक़त को न समझते हैं न पहचानते हैं

कितनी सदियों से ये वहशत का चलन जारी है
कितनी सदियों से है क़ाएम ये गुनाहों का रिवाज

लोग औरत की हर इक चीख़ को नग़्मा समझे
वो क़बीलों का ज़माना हो कि शहरों का रिवाज

जब्र से नस्ल बढ़े ज़ुल्म से तन मेल करें
ये अमल हम में है बे-इल्म परिंदों में नहीं

हम जो इंसानों की तहज़ीब लिए फिरते हैं
हम सा वहशी कोई जंगल के दरिंदों में नहीं

इक बुझी रूह लुटे जिस्म के ढांचे में लिए
सोचती हूं मैं कहां जा के मुक़द्दर फोड़ूं

मैं न ज़िंदा हूं कि मरने का सहारा ढूंढ़ूं
और न मुर्दा हूं कि जीने के ग़मों से छूटूं

कौन बतलाएगा मुझ को किसे जा कर पूछूं
ज़िंदगी क़हर के सांचों में ढलेगी कब तक

कब तलक आंख न खोलेगा ज़माने का ज़मीर
ज़ुल्म और जब्र की ये रीत चलेगी कब तक

औरत ने जनम दिया मर्दों को मर्दों ने उसे बाज़ार दिया

औरत ने जनम दिया मर्दों को मर्दों ने उसे बाज़ार दिया
जब जी चाहा मसला कुचला जब जी चाहा धुत्कार दिया
तुलती है कहीं दीनारों में बिकती है कहीं बाज़ारों में
नंगी नचवाई जाती है अय्याशों के दरबारों में
ये वो बे-इज़्ज़त चीज़ है जो बट जाती है इज़्ज़त-दारों में
औरत ने जनम दिया मर्दों को मर्दों ने उसे बाज़ार दिया

मर्दों के लिए हर ज़ुल्म रवा औरत के लिए रोना भी ख़ता
मर्दों के लिए हर ऐश का हक़ औरत के लिए जीना भी सज़ा
मर्दों के लिए लाखों सेजें, औरत के लिए बस एक चिता
औरत ने जनम दिया मर्दों को मर्दों ने उसे बाज़ार दिया

जिन सीनों ने इन को दूध दिया उन सीनों को बेवपार किया
जिस कोख में इन का जिस्म ढला उस कोख का कारोबार किया
जिस तन से उगे कोंपल बन कर उस तन को ज़लील-ओ-ख़्वार किया
संसार की हर इक बे-शर्मी ग़ुर्बत की गोद में पलती है
चकलों ही में आ कर रुकती है फ़ाक़ों से जो राह निकलती है
मर्दों की हवस है जो अक्सर औरत के पाप में ढलती है
औरत ने जनम दिया मर्दों को मर्दों ने उसे बाज़ार दिया

औरत संसार की क़िस्मत है फिर भी तक़दीर की हेटी है
अवतार पयम्बर जनती है फिर भी शैतान की बेटी है
ये वो बद-क़िस्मत मां है जो बेटों की सेज पे लेटी है
औरत ने जनम दिया मर्दों को मर्दों ने उसे बाज़ार दिया

औरत ने जनम दिया मर्दों को मर्दों ने उसे बाज़ार दिया

Poet - Sahir Ludhianvi
Location: Ludhiana, India
Views: 60