Jaun Elia Poetry

Na pooch us ki jo apne andar chhupa


Na pooch us ki jo apne andar chhupa

Na pooch us ki jo apne andar chhupa
Ghanimat ki main apne baahar chhupa.

Mujhe yahaan kisi pe bharosa nahi
Main apni nigahon se chhup kar chhupa.

Pahunch mukhbiron ki sukhun tak kahaan
So main apne honton pe aksar chhupa.

Meri sun na rakh apne pehlu mein dil
Ise tu kisi aur ke ghar chhupa.

Yahaan tere andar nahi meri khair
Meri jaan mujhe mere andar chhupa.

Khayalon ki aamad mein ye kharazaar
Hai teeron ki yalgaar tu sar chhupa.
-----------------------------------
न पूछ उस की जो अपने अंदर छुपा
ग़नीमत कि मैं अपने बाहर छुपा

मुझे याँ किसी पे भरोसा नहीं
मैं अपनी निगाहों से छुप कर छुपा

पहुँच मुख़बिरों की सुख़न तक कहाँ
सो मैं अपने होंटों पे अक्सर छुपा

मिरी सुन न रख अपने पहलू में दिल
इसे तू किसी और के घर छुपा

यहाँ तेरे अंदर नहीं मेरी ख़ैर
मिरी जाँ मुझे मेरे अंदर छुपा

ख़यालों की आमद में ये ख़ारज़ार
है तीरों की यलग़ार तू सर छुपा


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 291