Tehzeeb Hafi Poetry

Jab us ki tasvir banaya karta tha


Jab us ki tasvir banaya karta tha

jab us ki tasvir banaya karta tha
kamra rangon se bhar jaaya karta tha

ped mujhe hasrat se dekha karte the
main jangal men paani laaya karta tha

thak jaata tha badal saaya karte karte
aur phir main badal pe saaya karta tha

baiTha rahta tha sahil pe saara din
dariya mujh se jaan chhuḌaya karta thā

bint-e-sahra ruTha karti thi mujh se
main sahra se ret churaya karta tha
---------------------------------------
जब उसकी तस्वीर बनाया करता था,
कमरा रंगों से भर जाया करता था।

पेड़ मुझे हसरत से देखा करते थे,
मैं जंगल में पानी लाया करता था।

थक जाता था बादल साया करते-करते,
और फिर मैं बादल पर साया करता था।

बैठा रहता था साहिल पे सारा दिन,
दरिया मुझसे जान छुड़ाया करता था।

बिन्त-ए-सहरा रूठा करती थी मुझसे,
मैं सहरा से रेत चुराया करता था।


Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 639