Jaun Elia Poetry

Koii haalat nahin ye haalat hai


Koii haalat nahin ye haalat hai

koii haalat nahin ye haalat hai
ye to aashob-naak soorat hai

anjuman mein ye meri khaamoshi
burdabaari nahin hai vehshat hai

tujh se ye gaah-gaah ka shikwa
jab talak hai basaa ghaneemat hai

khwaahishein dil ka saath chhod gaeein
ye aziyyat badi aziyyat hai

log masroof jaante hain mujhe
yaa mera gham hi meri fursat hai

tanj pairaaya-e-tabasum mein
is takalluf kii kya zaroorat hai

ham ne dekha to ham ne ye dekha
jo nahin hai vo khoobsurat hai

vaar karne ko jaan-nisaar aayein
ye to eesaar hai inaayat hai

garm-joshi aur is qadar kya baat
kya tumhein mujh se kuchh shikaayat hai

ab nikal aao apne andar se
ghar mein samaan kii zaroorat hai

aaj ka din bhi aish se guzra
sar se pa tak badan salaamat hai
------------------------------------
 कोई हालत नहीं ये हालत है
ये तो आशोब-नाक सूरत है

अंजुमन में ये मेरी ख़ामोशी
बुर्दबारी नहीं है वहशत है

तुझ से ये गाह-गाह का शिकवा
जब तलक है बसा ग़नीमत है

ख़्वाहिशें दिल का साथ छोड़ गईं
ये अज़िय्यत बड़ी अज़िय्यत है

लोग मसरूफ़ जानते हैं मुझे
याँ मिरा ग़म ही मेरी फ़ुर्सत है

तंज़ पैराया-ए-तबस्सुम में
इस तकल्लुफ़ की क्या ज़रूरत है

हम ने देखा तो हम ने ये देखा
जो नहीं है वो ख़ूबसूरत है

वार करने को जाँ-निसार आएँ
ये तो ईसार है 'इनायत है

गर्म-जोशी और इस क़दर क्या बात
क्या तुम्हें मुझ से कुछ शिकायत है

अब निकल आओ अपने अंदर से
घर में सामान की ज़रूरत है

आज का दिन भी 'ऐश से गुज़रा
सर से पा तक बदन सलामत है

Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 254