Read more
Koi haalat nahi ye haalat hai
Ye to aashob-naak soorat hai
Anjuman mein ye meri khaamoshi
Burdabari nahi hai, wahshat hai
Tujh se ye gaah-gaah ka shikwa
Jab tak hai basa, ghanimat hai
Khwahishen dil ka saath chhod gayi
Ye aziyat badi aziyat hai
Log masroof jaante hain mujhe
Yahan mera gham hi meri fursat hai
Tanz pehriya-e-tabasum mein
Is takalluf ki kya zarurat hai
Hum ne dekha to hum ne ye dekha
Jo nahi hai, wo khoobsurat hai
Waar karne ko jaan-nisar aayein
Ye to isaar hai 'inayat hai'
Garm-josh aur is qadar kya baat
Kya tumhein mujh se kuch shikayat hai?
Ab nikal aao apne andar se
Ghar mein samaan ki zarurat hai
Aaj ka din bhi 'aish se guzra