Ubaidullah Aleem Poetry

Kuchh ishq tha kuchh majboori thi so main ne jeevan waar diya


Kuchh ishq tha kuchh majboori thi so main ne jeevan waar diya
कुछ इश्क़ था कुछ मजबूरी थी सो मैं ने जीवन वार दिया
मैं कैसा ज़िंदा आदमी था इक शख़्स ने मुझ को मार दिया

इक सब्ज़ शाख़ गुलाब की था इक दुनिया अपने ख़्वाब की था
वो एक बहार जो आई नहीं उस के लिए सब कुछ हार दिया

ये सजा-सजाया घर साथी मिरी ज़ात नहीं मिरा हाल नहीं
ऐ काश कभी तुम जान सको जो इस सुख ने आज़ार दिया

मैं खुली हुई इक सच्चाई मुझे जानने वाले जानते हैं
मैं ने किन लोगों से नफ़रत की और किन लोगों को प्यार दिया

वो इश्क़ बहुत मुश्किल था मगर आसान न था यूँ जीना भी
उस इश्क़ ने ज़िंदा रहने का मुझे ज़र्फ़ दिया पिंदार दिया

मैं रोता हूँ और आसमान से तारे टूटते देखता हूँ
उन लोगों पर जिन लोगों ने मिरे लोगों को आज़ार दिया

वो यार हों या महबूब मिरे या कभी कभी मिलने वाले
इक लज़्ज़त सब के मिलने में वो ज़ख़्म दिया या प्यार दिया

मिरे बच्चों को अल्लाह रखे इन ताज़ा हवा के झोंकों ने
मैं ख़ुश्क पेड़ ख़िज़ाँ का था मुझे कैसा बर्ग-ओ-बार दिया

-------------------------------------------------------------------

Kuchh ishq tha kuchh majboori thi so main ne jeevan waar diya
Main kaisa zinda aadmi tha, ek shakhs ne mujh ko maar diya

Ek sabz shaakh gulaab ki tha, ek duniya apne khwaab ki thi
Woh ek bahaar jo aayi nahin us ke liye sab kuch haar diya

Yeh saja-sajaya ghar saathi, meri zaat nahin mera haal nahin
Aye kaash kabhi tum jaan sako jo is sukh ne aazaar diya

Main khuli hui ek sachchai, mujhe jaanne wale jaante hain
Maine kin logon se nafrat ki aur kin logon ko pyaar diya

Woh ishq bahut mushkil tha magar aasaan na tha yun jeena bhi
Us ishq ne zinda rehne ka mujhe zarf diya, pindaar diya

Main rota hoon aur aasman se taare toot-te dekh-ta hoon
Un logon par jin logon ne mere logon ko aazaar diya

Woh yaar hon ya mehboob mere ya kabhi kabhi milne waale
Ek lazzat sab ke milne mein woh zakhm diya ya pyaar diya

Mere bachhon ko Allah rakhe, in taaza hawa ke jhonkon ne
Main khushk pedh khizaan ka tha, mujhe kaisa barg-o-baar diya


Poet - Ubaidullah Aleem
Location: Bhopal, MP
Views: 11