Ahmed Faraz Poetry

Tumhein bhi zomm maha-bhaarta ladi tum ne


Tumhein bhi zomm maha-bhaarta ladi tum ne

Tumhein bhi zomm maha-bhaarta ladi tum ne
Humein bhi fakhr ke hum Karbala ke aadi hain

Sitam to yeh hai ke dono ke margzaaron se
Hawa-e-fitna o boo-e-fasaad aati hai

Alam to yeh hai ke dono ko waham hai ke bahaar
Adu ke khoon mein nahane ke baad aati hai

To ab yeh haal hua is darindagi ke sabab
Tumhare paanv salamat rahe na haath mire

Na jeet jeet tumhari, na haar haar meri
Na koi saath tumhare, na koi saath mire

Humare shehron ki majboor o be-nawa makhlooq
Dabi hui hai dukhon ke hazaar dheron mein

Ab un ki teera-naseebi charaagh chahti hai
Jo log nisf sadi tak rahe andheron mein

Charaagh jin se mohabbat ki roshni faile
Charaagh jin se dilon ke dayaar roshan hon

Charaagh jin se ziya amn-o-aashti ki mile
Charaagh jin se diye be-shumaar roshan hon

Tumhare des mein aaya hoon, dosto ab ke
Na saaz-o-naghma ki mehfil, na shaa’iri ke liye

Agar tumhari ana hi ka hai sawaal to phir
Chalo main haath badhata hoon dosti ke liye
----------------------------------
तुम्हें भी ज़ोम महा-भारता लड़ी तुम ने
हमें भी फ़ख़्र कि हम कर्बला के आदी हैं

सितम तो ये है कि दोनों के मर्ग़-ज़ारों से
हवा-ए-फ़ित्ना ओ बू-ए-फ़साद आती है

अलम तो ये है कि दोनों को वहम है कि बहार
अदू के ख़ूँ में नहाने के बा'द आती है

तो अब ये हाल हुआ इस दरिंदगी के सबब
तुम्हारे पाँव सलामत रहे न हाथ मिरे

न जीत जीत तुम्हारी न हार हार मिरी
न कोई साथ तुम्हारे न कोई साथ मिरे

हमारे शहरों की मजबूर ओ बे-नवा मख़्लूक़
दबी हुई है दुखों के हज़ार ढेरों में

अब उन की तीरा-नसीबी चराग़ चाहती है
जो लोग निस्फ़ सदी तक रहे अँधेरों में

चराग़ जिन से मोहब्बत की रौशनी फैले
चराग़ जिन से दिलों के दयार रौशन हों

चराग़ जिन से ज़िया अम्न-ओ-आश्ती की मिले
चराग़ जिन से दिए बे-शुमार रौशन हूँ

तुम्हारे देस में आया हूँ दोस्तो अब के
न साज़-ओ-नग़्मा की महफ़िल न शाइ'री के लिए

अगर तुम्हारी अना ही का है सवाल तो फिर
चलो मैं हाथ बढ़ाता हूँ दोस्ती के लिए


Poet - Ahmed Faraz
Location: Kohat, British India (now in Pakistan)
Views: 652