Sahir Ludhianvi Poetry

mere khwaabon ke jharokon ko sajaane waali


mere khwaabon ke jharokon ko sajaane waali

mere khwaabon ke jharokon ko sajaane waali
tere khwaabon mein kahi mera guzar hai ki nahin
pooch kar apni nigaahon se bata de mujh ko
meri raaton ke muqaddar mein sehar hai ki nahin

chaar din ki ye rifaqat jo rifaqat bhi nahin
umr bhar ke liye aazaar hui jaati hai
zindagi yoon to hamesha se pareshaan si thi
ab to har saans giran-baar hui jaati hai

meri ujadi hui neendon ke shabistaanon mein
tu kisi khwaab ke paikar ki tarah aayi hai
kabhi apni si kabhi gair nazar aayi hai
kabhi ikhlaas ki moorat kabhi harjaai hai

pyaar par bas to nahin hai mera lekin phir bhi
tu bata de ki tujhe pyaar karoon ya na karoon
tu ne khud apne tabassum se jagaaya hai jinhen
un tamannaon ka izhaar karoon ya na karoon
tu kisi aur ke daaman ki kali hai lekin
meri raatein tiri khushboo se basi rahti hain
tu kahi bhi ho tire phool se aariz ki qasam
teri palkein meri aankhon pe jhuki rahti hain

tere haathon ki hararat tire saanson ki mahak
tairti rahti hai ehsaas ki pahnaai mein
dhoondhti rahti hain takh'eel ki baanhen tujh ko
sard raaton ki sulagti hui tanhaai mein
tera altaf-o karam ek haqeeqat hai magar
ye haqeeqat bhi haqeeqat mein fasana hi na ho
teri maanoos nigaahon ka ye mohtaath payaam
dil ke khun karne ka ek aur bahaana hi na ho

kaun jaane mere imroz ka farda kya hai
qurbaten badh ke pashemaan bhi ho jaati hain
dil ke daaman se liptati hui rangeen nazrein
dekhte dekhte anjaan bhi ho jaati hain

meri darmaanda jawaani ki tamannaon ke
muzmahil khwaab ki taabeer bata de mujh ko

mera haasil meri taqdeer bata de mujh ko 
--------------------------------------------
मेरे ख़्वाबों के झरोकों को सजाने वाली
तेरे ख़्वाबों में कहीं मेरा गुज़र है कि नहीं
पूछ कर अपनी निगाहों से बता दे मुझ को
मेरी रातों के मुक़द्दर में सहर है कि नहीं

चार दिन की ये रिफ़ाक़त जो रिफ़ाक़त भी नहीं
उम्र भर के लिए आज़ार हुई जाती है
ज़िंदगी यूं तो हमेशा से परेशान सी थी
अब तो हर सांस गिरां-बार हुई जाती है

मेरी उजड़ी हुई नींदों के शबिस्तानों में
तू किसी ख़्वाब के पैकर की तरह आई है
कभी अपनी सी कभी ग़ैर नज़र आई है
कभी इख़्लास की मूरत कभी हरजाई है

प्यार पर बस तो नहीं है मिरा लेकिन फिर भी
तू बता दे कि तुझे प्यार करूं या न करूं
तू ने ख़ुद अपने तबस्सुम से जगाया है जिन्हें
उन तमन्नाओं का इज़हार करूं या न करूं
तू किसी और के दामन की कली है लेकिन
मेरी रातें तिरी ख़ुश्बू से बसी रहती हैं
तू कहीं भी हो तिरे फूल से आरिज़ की क़सम
तेरी पलकें मिरी आंखों पे झुकी रहती हैं

तेरे हाथों की हरारत तिरे सांसों की महक
तैरती रहती है एहसास की पहनाई में
ढूंढ़ती रहती हैं तख़्ईल की बांहें तुझ को
सर्द रातों की सुलगती हुई तन्हाई में
तेरा अल्ताफ़-ओ- करम एक हक़ीक़त है मगर
ये हक़ीक़त भी हक़ीक़त में फ़साना ही न हो
तेरी मानूस निगाहों का ये मोहतात पयाम
दिल के ख़ूँ करने का एक और बहाना ही न हो

कौन जाने मिरे इमरोज़ का फ़र्दा क्या है
क़ुर्बतें बढ़ के पशेमान भी हो जाती हैं
दिल के दामन से लिपटती हुई रंगीं नज़रें
देखते देखते अंजान भी हो जाती हैं

मेरी दरमांदा जवानी की तमन्नाओं के
मुज़्महिल ख़्वाब की ताबीर बता दे मुझ को

मेरा हासिल मेरी तक़दीर बता दे मुझ को

Poet - Sahir Ludhianvi
Location: Ludhiana, India
Views: 575