Bashir Badr Poetry

she'r mere kahaan the kisi ke liye


she'r mere kahaan the kisi ke liye

she'r mere kahaan the kisi ke liye
maine sab kuchh likha hai tumhaare liye

apne dukh sukh bahut khoobsurat rahe
ham jiye bhi to ik doosre ke liye

hum-safar ne mera saath chhodaa nahin
apne aansu diye raaste ke liye

is haveli mein ab koii rehta nahin
chaand nikla kise dekhne ke liye

zindagi aur main do alag to nahin
main ne sab phool kaate isi se liye

shehar mein ab mera koii dushman nahin
sab ko apna liya maine tere liye

zehan mein titliyan ud rahi hain bahut
koii dhaaga nahin baandhne ke liye

ek tasveer ghazalon mein aisi bani
agle pichhle zamaanon ke chehre liye 
-------------------------------------
शे'र मेरे कहाँ थे किसी के लिए
मैंने सब कुछ लिखा है तुम्हारे लिए

अपने दुख सुख बहुत ख़ूबसूरत रहे
हम जिए भी तो इक दूसरे के लिए

हम-सफ़र ने मिरा साथ छोड़ा नहीं
अपने आँसू दिए रास्ते के लिए

इस हवेली में अब कोई रहता नहीं
चाँद निकला किसे देखने के लिए

ज़िंदगी और मैं दो अलग तो नहीं
मैं ने सब फूल काटे इसी से लिए

शहर में अब मिरा कोई दुश्मन नहीं
सब को अपना लिया मैंने तेरे लिए

ज़ेहन में तितलियाँ उड़ रही हैं बहुत
कोई धागा नहीं बाँधने के लिए

एक तस्वीर ग़ज़लों में ऐसी बनी
अगले पिछले ज़मानों के चेहरे लिए

Poet - Bashir Badr
Location: Faizabad, Uttar Pradesh, India
Views: 328