Faiz Ahmed Faiz Poetry

taaza hain abhi yaad mein ai saaqi-e-gulfaam


taaza hain abhi yaad mein ai saaqi-e-gulfaam

1- taaza hain abhi yaad mein ai saaqi-e-gulfaam
vo aks-e-rukh-e-yaar se lahke hue ayyaam
vo phool si khulti hui deedaar ki saaat
vo dil sa dhadakta hua ummeed ka hangaam

ummeed ki lau jaaga gham-e-dil ka naseeba
lo shauq ki tarsi hui shab ho gai aakhir
lo doob gaye dard ke be-khwab sitaare
ab chamkega be-sabr nigaahon ka muqaddar

is baam se niklega tire husn ka khurshid
is kunj se phootegi kiran rang-e-hina ki
is dar se bahega tiri raftaar ka seemaab
us raah pe failegi shafaq teri qaba ki

phir dekhe hain vo hijr ke tapte hue din bhi
jab fikr-e-dil-o-jaan mein fugaan bhool gai hai
har shab vo siyah bojh ki dil baith gaya hai
har subh ki lau teer si seene mein lagi hai

tanhaai mein kya kya na tujhe yaad kiya hai
kya kya na dil-e-zaar ne dhundi hain panaahen
aankhon se lagaaya hai kabhi dast-e-saba ko
daali hain kabhi gardan-e-mahtaab mein baahen

2- chaaha hai isee rang mein laila-e-watan ko
tadpa hai isee taur se dil us ki lagan mein
dhundi hai yoonhi shauq ne aasaish-e-manzil
rukhsaar ke kham mein kabhi kaakul ki shikan mein

us jaan-e-jahaan ko bhi yoonhi qalb-o-nazar ne
hans hans ke sada di kabhi ro ro ke pukaara
poore kiye sab harf-e-tamanna ke taqaze
har dard ko ujyaalaa har ik gham ko sanwaara

waapas nahin fera koi farmaan junoon ka
tanhaa nahin lauti kabhi awaaz jars ki
khairiyyat-e-jaan rahat-e-tan sehhat-e-daaman
sab bhool gaeein maslihatein ahl-e-hawas ki

is raah mein jo sab pe guzarti hai vo guzri
tanhaa pas-e-zindaan kabhi rusva sar-e-bazaar
garje hain bahut shaikh sar-e-gosha-e-mimbar
karkke hain bahut ahl-e-hukm bar-sar-e-darbaar

chhodaa nahin ghairoon ne koi navak-e-dushnaam
chhooti nahin apnon se koi tarz-e-malamat
us ishq na us ishq pe naadim hai magar dil
har daagh hai is dil mein ba-juz-daag-e-nadaamat 
------------------------------------------------
(1)ताज़ा हैं अभी याद में ऐ साक़ी-ए-गुलफ़ाम
वो अक्स-ए-रुख़-ए-यार से लहके हुए अय्याम
वो फूल सी खुलती हुई दीदार की साअत
वो दिल सा धड़कता हुआ उम्मीद का हंगाम

उम्मीद कि लौ जागा ग़म-ए-दिल का नसीबा
लो शौक़ की तरसी हुई शब हो गई आख़िर
लो डूब गए दर्द के बे-ख़्वाब सितारे
अब चमकेगा बे-सब्र निगाहों का मुक़द्दर

इस बाम से निकलेगा तिरे हुस्न का ख़ुर्शीद
इस कुंज से फूटेगी किरन रंग-ए-हिना की
इस दर से बहेगा तिरी रफ़्तार का सीमाब
उस राह पे फैलेगी शफ़क़ तेरी क़बा की

फिर देखे हैं वो हिज्र के तपते हुए दिन भी
जब फ़िक्र-ए-दिल-ओ-जाँ में फ़ुग़ाँ भूल गई है
हर शब वो सियह बोझ कि दिल बैठ गया है
हर सुब्ह की लौ तीर सी सीने में लगी है

तंहाई में क्या क्या न तुझे याद किया है
क्या क्या न दिल-ए-ज़ार ने ढूँडी हैं पनाहें
आँखों से लगाया है कभी दस्त-ए-सबा को
डाली हैं कभी गर्दन-ए-महताब में बाहें

(2) चाहा है इसी रंग में लैला-ए-वतन को
तड़पा है इसी तौर से दिल उस की लगन में
ढूँडी है यूँही शौक़ ने आसाइश-ए-मंज़िल
रुख़्सार के ख़म में कभी काकुल की शिकन में

उस जान-ए-जहाँ को भी यूँही क़ल्ब-ओ-नज़र ने
हँस हँस के सदा दी कभी रो रो के पुकारा
पूरे किए सब हर्फ़-ए-तमन्ना के तक़ाज़े
हर दर्द को उजयाला हर इक ग़म को सँवारा

वापस नहीं फेरा कोई फ़रमान जुनूँ का
तन्हा नहीं लौटी कभी आवाज़ जरस की
ख़ैरिय्यत-ए-जाँ राहत-ए-तन सेह्हत-ए-दामाँ
सब भूल गईं मस्लिहतें अहल-ए-हवस की

इस राह में जो सब पे गुज़रती है वो गुज़री
तन्हा पस-ए-ज़िंदाँ कभी रुस्वा सर-ए-बाज़ार
गरजे हैं बहुत शैख़ सर-ए-गोशा-ए-मिम्बर
कड़के हैं बहुत अहल-ए-हकम बर-सर-ए-दरबार

छोड़ा नहीं ग़ैरों ने कोई नावक-ए-दुश्नाम
छूटी नहीं अपनों से कोई तर्ज़-ए-मलामत
उस इश्क़ न उस इश्क़ पे नादिम है मगर दिल
हर दाग़ है इस दिल में ब-जुज़-दाग़-ए-नदामत

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 408