Ahmed Faraz Poetry

Mire ghaneem ne mujh ko payaam bheja hai


Mire ghaneem ne mujh ko payaam bheja hai

Mire ghaneem ne mujh ko payaam bheja hai
Ke halqa-zan hain mire gird lashkaree us ke

Faseel-e-shehar ke har burj har minare par
Kamaan-ba-dast sitaada hain askaree us ke

Woh barq lehr bujha di gayi hai jis ki tapish
Wujood-e-khaak mein aatish-fishaan jagati thi

Bichha diya gaya barood us ke paani mein
Woh joo-e-aab jo meri gali ko aati thi

Sabhi dareeda-dahan ab badan-dareeda hue
Sapurd-e-daar-o-rasan saare sar-kasida hue

Tamaam soofi o saalik sabhi shuyookh o imaam
Umeed-e-lutf pe aaiwan-e-kaj-kulaah mein hain

Moazzizeen-e-adalat bhi half uthane ko
Misaal-e-sail-e-mubarram nasishta raah mein hain

Tum ahl-e-harf ke pindar ke sana-gar the
Woh aasmaan-e-hunar ke nujoom samne hain

Bas ek musahib-e-darbaar ke ishaare par
Gadagaraan-e-sukhan ke hujoom samne hain

Qalandaraan-e-wafa ki asaas to dekho
Tumhare saath hai kaun aas-paas to dekho

So shart yeh hai jo jaan ki amaan chahte ho
To apne loh-o-qalam qatl-gaah mein rakh do

Warna ab ke nishana kamaandaaron ka
Bas ek tum ho so gairat ko raah mein rakh do

Yeh shart-naama jo dekha to elchi se kaha
Use khabar nahi tareekh kya sikhati hai

Ke raat jab kisi khursheed ko shaheed kare
To subah ek naya sooraj taraash laati hai

So yeh jawab hai mera mire adoo ke liye
Ke mujh ko hirs-e-karam hai na khauf-e-khamyaaza

Use hai satwat-e-shamsheer par ghamand bahut
Use shikoh-e-qalam ka nahi hai andaaza

Mera qalam nahi kirdaar us muhafiz ka
Jo apne shehar ko mahsoor kar ke naaz kare

Mera qalam nahi kaasa kisi subuk-sar ka
Jo ghasibon ko qaseedon se sarfaraz kare

Mera qalam nahi auzaar us naqab-zan ka
Jo apne ghar ki hi chhat mein shigaf daalta hai

Mera qalam nahi us duzd-e-neem-shab ka rafiq
Jo be-chiragh gharon par kamand uchhalta hai

Mera qalam nahi tasbeeh us muballigh ki
Jo bandagi ka bhi har dam hisaab rakhta hai

Mera qalam nahi meezan aise aadil ki
Jo apne chehre pe dohra naqaab rakhta hai

Mera qalam to amaanat hai mere logon ki
Mera qalam to adalat mere zameer ki hai

Isi liye to jo likkha tapaak-e-jaan se likkha
Jabhi to loch kamaan ka zabaan teer ki hai

Main kat girun ke salamat rahun yaqeen hai mujhe
Ke yeh hisaar-e-sitam koi to giraayega

Tamaam umr ki eza-naseebiyon ki qasam
Mire qalam ka safar raaygaan na jaayega

Sarishte-ishq ne uftaadgi nahi payi
Tu qadd-e-sarv na beeni o saaya-paymaayi
----------------------------------
मिरे ग़नीम ने मुझ को पयाम भेजा है
कि हल्क़ा-ज़न हैं मिरे गिर्द लश्करी उस के

फ़सील-ए-शहर के हर बुर्ज हर मनारे पर
कमाँ-ब-दस्त सितादा हैं अस्करी उस के

वो बर्क़ लहर बुझा दी गई है जिस की तपिश
वजूद-ए-ख़ाक में आतिश-फ़िशाँ जगाती थी

बिछा दिया गया बारूद उस के पानी में
वो जू-ए-आब जो मेरी गली को आती थी

सभी दुरीदा-दहन अब बदन-दरीदा हुए
सपुर्द-ए-दार-ओ-रसन सारे सर-कशीदा हुए

तमाम सूफ़ी ओ सालिक सभी शुयूख़ ओ इमाम
उमीद-ए-लुत्फ़ पे ऐवान-ए-कज-कुलाह में हैं

मोअज़्ज़िज़ीन-ए-अदालत भी हल्फ़ उठाने को
मिसाल-ए-साइल-ए-मुबर्रम नशिस्ता राह में हैं

तुम अहल-ए-हर्फ़ कि पिंदार के सना-गर थे
वो आसमान-ए-हुनर के नुजूम सामने हैं

बस इक मुसाहिब-ए-दरबार के इशारे पर
गदागरान-ए-सुख़न के हुजूम सामने हैं

क़लंदरान-ए-वफ़ा की असास तो देखो
तुम्हारे साथ है कौन आस-पास तो देखो

सो शर्त ये है जो जाँ की अमान चाहते हो
तो अपने लौह-ओ-क़लम क़त्ल-गाह में रख दो

वगर्ना अब के निशाना कमान-दारों का
बस एक तुम हो सो ग़ैरत को राह में रख दो

ये शर्त-नामा जो देखा तो एलची से कहा
उसे ख़बर नहीं तारीख़ क्या सिखाती है

कि रात जब किसी ख़ुर्शीद को शहीद करे
तो सुब्ह इक नया सूरज तराश लाती है

सो ये जवाब है मेरा मिरे अदू के लिए
कि मुझ को हिर्स-ए-करम है न ख़ौफ़-ए-ख़म्याज़ा

उसे है सतवत-ए-शमशीर पर घमंड बहुत
उसे शिकोह-ए-क़लम का नहीं है अंदाज़ा

मिरा क़लम नहीं किरदार उस मुहाफ़िज़ का
जो अपने शहर को महसूर कर के नाज़ करे

मिरा क़लम नहीं कासा किसी सुबुक-सर का
जो ग़ासिबों को क़सीदों से सरफ़राज़ करे

मिरा क़लम नहीं औज़ार उस नक़ब-ज़न का
जो अपने घर की ही छत में शिगाफ़ डालता है

मिरा क़लम नहीं उस दुज़द-ए-नीम-शब का रफ़ीक़
जो बे-चराग़ घरों पर कमंद उछालता है

मिरा क़लम नहीं तस्बीह उस मोबल्लिग़ की
जो बंदगी का भी हर दम हिसाब रखता है

मिरा क़लम नहीं मीज़ान ऐसे आदिल की
जो अपने चेहरे पे दोहरा नक़ाब रखता है

मिरा क़लम तो अमानत है मेरे लोगों की
मिरा क़लम तो अदालत मिरे ज़मीर की है

इसी लिए तो जो लिक्खा तपाक-ए-जाँ से लिखा
जभी तो लोच कमाँ का ज़बान तीर की है

मैं कट गिरूँ कि सलामत रहूँ यक़ीं है मुझे
कि ये हिसार-ए-सितम कोई तो गिराएगा

तमाम उम्र की ईज़ा-नसीबियों की क़सम
मिरे क़लम का सफ़र राएगाँ न जाएगा

सरिश्त-ए-इश्क़ ने उफ़्तादगी नहीं पाई
तू कद्द-ए-सर्व न बीनी ओ साया-पैमाई


Poet - Ahmed Faraz
Location: Kohat, British India (now in Pakistan)
Views: 345