Ahmed Faraz Poetry

Kis se darte ho ke sab log tumhari hi tarah


Kis se darte ho ke sab log tumhari hi tarah

Kis se darte ho ke sab log tumhari hi tarah
Ek se hain, wahi aankhen, wahi chehre, wahi dil

Kis pe shak karte ho, jitne bhi musafir hain yahan
Ek hi sab ka qabeela, wahi paikar, wahi gil

Hum to wo the ke mohabbat tha wateera jin ka
Pyar se milta to dushman ke bhi ho jaate the

Is tawaqqo pe ke shayad koi mehmaan aa jaaye
Ghar ke darwaaze khule chhod ke so jaate the

Hum to aaye the ke dekhenge tumhare qarye
Wo dar-o-baam ke tareekh ke soorat-gar hain

Wo areene, wo masaajid, wo kaleesa, wo mahal
Aur wo log jo har naqsh se afzal-tar hain

Rome ke but hon ke Paris ki ho Mona Lisa
Keats ki qabr ho ya turbat-e-Firdausi ho

Qurtuba ho ke Ajanta ke Mohenjodaro
Deeda-e-shauq na mehroom-e-nazar-bosi ho

Kis ne duniya ko bhi daulat ki tarah baanta hai
Kis ne taqseem kiye hain ye asase saare

Kis ne deewar tafawut ki uthai logo
Kyun samundar ke kinare pe hain pyase saare.
-----------------------------------
किस से डरते हो कि सब लोग तुम्हारी ही तरह
एक से हैं वही आँखें वही चेहरे वही दिल

किस पे शक करते हो जितने भी मुसाफ़िर हैं यहाँ
एक ही सब का क़बीला वही पैकर वही गिल

हम तो वो थे कि मोहब्बत था वतीरा जिन का
प्यार से मिलता तो दुश्मन के भी हो जाते थे

इस तवक़्क़ो पे कि शायद कोई मेहमाँ आ जाए
घर के दरवाज़े खुले छोड़ के सो जाते थे

हम तो आए थे कि देखेंगे तुम्हारे क़र्ये
वो दर-ओ-बाम कि तारीख़ के सूरत-गर हैं

वो अरीने वो मसाजिद वो कलीसा वो महल
और वो लोग जो हर नक़्श से अफ़ज़ल-तर हैं

रोम के बुत हों कि पैरिस की हो मोनालीज़ा
कीट्स की क़ब्र हो या तुर्बत-ए-फ़िरदौसी हो

क़र्तबा हो कि अजंता कि मोहनजोदाड़ो
दीदा-ए-शौक़ न महरूम-ए-नज़र-बोसी हो

किस ने दुनिया को भी दौलत की तरह बाँटा है
किस ने तक़्सीम किए हैं ये असासे सारे

किस ने दीवार तफ़ावुत की उठाई लोगो
क्यूँ समुंदर के किनारे पे हैं प्यासे सारे


Poet - Ahmed Faraz
Location: Kohat, British India (now in Pakistan)
Views: 376