Ahmed Faraz Poetry

Guzar gaye kai mausam, kai rutain badli


Guzar gaye kai mausam, kai rutain badli


Guzar gaye kai mausam, kai rutain badli
Udaas tum bhi ho yaaro, udaas hum bhi hain

Faqat tumhi ko nahi ranj-e-chaak-daamaani
Ke sach kahen to dareeda-libas hum bhi hain

Tumhare baam ki shamain bhi tabnaak nahi
Mire falak ke sitare bhi zard zard se hain

Tumhare aaina-khane bhi zung-aalooda
Mire suraahi o saagar bhi gard gard se hain

Na tum ko apne khad-o-khaal hi nazar aayein
Na main yeh dekh sakoon jaam mein bhara kya hai

Basaaraton pe wo jaale pade ke dono ko
Samajh mein kuch nahi aata ke maajra kya hai

Na sarv mein wo ghuroor-e-kasheeda-qaamati hai
Na qumrion ki udaasi mein kuch kami aayi

Na khil sake kisi jaanib mohabbaton ke gulaab
Na shaakh-e-amn liye faakhta koi aayi

Tumhein bhi zid hai ke mashq-e-sitam rahe jaari
Humein bhi naaz ke jor-o-jafa ke aadi hain
-------------------------------------------------------------
गुज़र गए कई मौसम कई रुतें बदलीं
उदास तुम भी हो यारो उदास हम भी हैं

फ़क़त तुम्हीं को नहीं रंज-ए-चाक-दामानी
कि सच कहें तो दरीदा-लिबास हम भी हैं

तुम्हारे बाम की शमएँ भी ताबनाक नहीं
मिरे फ़लक के सितारे भी ज़र्द ज़र्द से हैं

तुम्हारे आइना-ख़ाने भी ज़ंग-आलूदा
मिरे सुराही ओ साग़र भी गर्द गर्द से हैं

न तुम को अपने ख़द-ओ-ख़ाल ही नज़र आएँ
न मैं ये देख सकूँ जाम में भरा क्या है

बसारतों पे वो जाले पड़े कि दोनों को
समझ में कुछ नहीं आता कि माजरा क्या है

न सर्व में वो ग़ुरूर-ए-कशीदा-क़ामती है
न क़ुमरियों की उदासी में कुछ कमी आई

न खिल सके किसी जानिब मोहब्बतों के गुलाब
न शाख़-ए-अम्न लिए फ़ाख़्ता कोई आई

तुम्हें भी ज़िद है कि मश्क़-ए-सितम रहे जारी
हमें भी नाज़ कि जौर-ओ-जफ़ा के आदी हैं


Poet - Ahmed Faraz
Location: Kohat, British India (now in Pakistan)
Views: 359