Zia Mazkoor Poetry

tum ne bhi un se hi milna hota hai


tum ne bhi un se hi milna hota hai

tum ne bhi un se hi milna hota hai
jin logon se mera jhagḌa hota hai

us ke gaanv Ki ek nishani ye bhi hai
har nalke ka paani miTha hota hai

main us shaḳhs se thoḌa aage chalta huun
jis ka main ne pichha karna hota hai

tum meri duniya men bilkul aise ho
taash men jaise hukum ka ikka hota hai

kitne sukhe peḌ bacha sakte hain ham
har jangal men lakkaḌhara hota hai
---------------------------------------
तुम ने भी उन से ही मिलना होता है
जिन लोगों से मेरा झगड़ा होता है

उस के गाँव की एक निशानी ये भी है
हर नलके का पानी मीठा होता है

मैं उस शख्स से थोड़ा आगे चलता हूँ
जिस का मैंने पीछा करना होता है

तुम मेरी दुनिया में बिलकुल ऐसे हो
ताश में जैसे हुक़्म का इक्का होता है

कितने सूखे पेड़ बचा सकते हैं हम
हर जंगल में लकड़हारा होता है


Poet - Zia Mazkoor
Location: Bahawalpur, Pakistan
Views: 204