Allama Iqbal Poetry

ik danish-e-nooraani ik danish-e-burhaani


ik danish-e-nooraani ik danish-e-burhaani

ik danish-e-nooraani ik danish-e-burhaani
hai danish-e-burhaani hairat ki faraavani

is paikar-e-khaaki mein ik shay hai so vo teri
mere liye mushkil hai is shay ki nigahbaani

ab kya jo fugaan meri pahunchee hai sitaaron tak
tu ne hi sikhaai thi mujh ko ye ghazal-khwaani

ho naqsh agar baatil takraar se kya haasil
kya tujh ko khush aati hai aadam ki ye arzaani

mujh ko to sikha di hai afrang ne zindeeqi
is daur ke mulla hain kyun nang-e-muslmaani

taqdeer shikan quwwat baaki hai abhi is mein
naadaan jise kahte hain taqdeer ka zindaani

tere bhi sanam-khaane mere bhi sanam-khaane
dono ke sanam khaaki dono ke sanam faani 
---------------------------------------
इक दानिश-ए-नूरानी इक दानिश-ए-बुरहानी
है दानिश-ए-बुरहानी हैरत की फ़रावानी

इस पैकर-ए-ख़ाकी में इक शय है सो वो तेरी
मेरे लिए मुश्किल है इस शय की निगहबानी

अब क्या जो फ़ुग़ाँ मेरी पहुँची है सितारों तक
तू ने ही सिखाई थी मुझ को ये ग़ज़ल-ख़्वानी

हो नक़्श अगर बातिल तकरार से क्या हासिल
क्या तुझ को ख़ुश आती है आदम की ये अर्ज़ानी

मुझ को तो सिखा दी है अफ़रंग ने ज़िंदीक़ी
इस दौर के मुल्ला हैं क्यूँ नंग-ए-मुसलमानी

तक़दीर शिकन क़ुव्वत बाक़ी है अभी इस में
नादाँ जिसे कहते हैं तक़दीर का ज़िंदानी

तेरे भी सनम-ख़ाने मेरे भी सनम-ख़ाने
दोनों के सनम ख़ाकी दोनों के सनम फ़ानी

Poet - Allama Iqbal
Location: Sialkot, Punjab, British India (now in Pakistan)
Views: 166