Fehmida Riaz Poetry

All time most famous ghazals of fehmida riyaz


All time most famous ghazals of fehmida riyaz

1- Jo mujh mein chhupa mera gala ghont raha hai
Ya wo koi Iblis hai ya mera Khuda hai

Jab sar mein nahi ishq to chehre pe chamak hai
Ye nakhl khizan aayi to shaadab hua hai

Kya mera ziyan hai jo muqabil tire aa jaaun
Ye umr to ma'loom ki tu mujh se bada hai

Main banda-o-nachaar ki sairab na ho paun
Ai zahir-o-maujood mira jism dua hai

Haan us ke ta'aqqub se mire dil mein hai inkaar
Wo shaks kisi ko na milega na mila hai

Kyun noor-e-abad dil mein guzar kar nahi paata
Seene ki siyahi se naya harf likha hai


2- Muddatt se ye aalam hai dil ka, hasta bhi nahi rota bhi nahi
Maazi bhi kabhi dil mein na chubha, ainda ka socha bhi nahi

Wo mere honth pe likha hai jo harf mukammal ho na saka
Wo meri aankh mein basta hai jo khwab kabhi dekha bhi nahi

Chalte chalte kuch tham jaana, phir bojhal qadmon se chalna
Ye kaisi kasak si baaqi hai jab paon mein wo kaanta bhi nahi

Dhundhlayi hui shaamon mein koi parchai si phirti rehti hai
Main aahat sunti hoon jis ki, wo waham nahi saya bhi nahi

Tazeen-e-lab-o-gesu kaisi pindaar ka sheesha toot gaya
Thi jis ke liye sab aaraish, us ne to humein dekha bhi nahi


3- Kabhi dhanak si utarti thi un nigahon mein
Wo shokh rang bhi dheeme pade hawaon mein

Main tez-gaam chali ja rahi thi us ki samt
Kashish ajeeb thi us dasht ki sadaon mein

Wo ek sada jo fareb-e-sada se bhi kam hai
Na doob jaaye kahin tund-rau hawaon mein

Sukoot-e-shaam hai aur main hoon gosh-bar-aawaz
Ki ek wa'ade ka afsoon sa hai fazaon mein

Miri tarah yunhi gum-karda-rah chhodegi
Tum apni baah na dena hawa ki baahon mein

Nukush paon ke likhte hain manzil-e-na-yaft
Mira safar to hai tahreer meri rahon mein


4- Ab so jao
Aur apne haath ko mere haath mein rehne do

Tum chaand se maathay wale ho
Aur achhi kismat rakhte ho

Bachche ki sau bholi soorat
Ab tak zid karne ki aadat

Kuch khoyi khoyi si baatein
Kuch seene mein chubhti yaadein

Ab inhein bhula do, so jao
Aur apne haath ko mere haath mein rehne do

So jao, tum Shehzade ho
Aur kitne dhero pyare ho

Achha to koi aur bhi thi
Achha phir baat kahan nikli

Kuch aur bhi yaadein bachpan ki
Kuch apne ghar ke aangan ki

Sab batla do phir so jao
Aur apne haath ko mere haath mein rehne do

Ye thandi saans hawaon ki
Ye jhil-mil karti khamoshi

Ye dhalti raat sitaron ki
Beete na kabhi, tum so jao

Aur apne haath ko mere haath mein rehne do


5- Baitha hai mere samne wo
Jaane kisi soch mein pada hai

Achhi aankhein mili hain us ko
Wahshat karna bhi aa gaya hai

Bich jaaun main us ke raste mein
Phir bhi kya is se faayda hai

Hum dono hi ye to jaante hain
Wo mere liye nahi bana hai

Mere liye us ke haath kaafi
Us ke liye saara falsafa hai

Meri nazron se hai pareshaan
Khud apni kashish se hi khafa hai

Sab baat samajh raha hai lekin
Gum-sum sa mujh ko dekhta hai

Jaise mele mein koi bachcha
Apni maa se bichhad gaya hai

Us ke seene mein chhup ke rooon
Mera dil to ye chahta hai

Kaisa khush-rang phool hai wo
Jo us ke labon pe khil raha hai

Ya Rab wo mujhe kabhi na bhoole
Meri tujh se yahi dua hai
---------------------------------------
1- जो मुझ में छुपा मेरा गला घोंट रहा है
या वो कोई इबलीस है या मेरा ख़ुदा है

जब सर में नहीं इश्क़ तो चेहरे पे चमक है
ये नख़्ल ख़िज़ाँ आई तो शादाब हुआ है

क्या मेरा ज़ियाँ है जो मुक़ाबिल तिरे आ जाऊँ
ये अम्र तो मा'लूम कि तू मुझ से बड़ा है

मैं बंदा-ओ-नाचार कि सैराब न हो पाऊँ
ऐ ज़ाहिर-ओ-मौजूद मिरा जिस्म दुआ है

हाँ उस के तआ'क़ुब से मिरे दिल में है इंकार
वो शख़्स किसी को न मिलेगा न मिला है

क्यूँ नूर-ए-अबद दिल में गुज़र कर नहीं पाता
सीने की सियाही से नया हर्फ़ लिखा है


2- मुद्दत से ये आलम है दिल का हँसता भी नहीं रोता भी नहीं
माज़ी भी कभी दिल में न चुभा आइंदा का सोचा भी नहीं

वो मेरे होंट पे लिक्खा है जो हर्फ़ मुकम्मल हो न सका
वो मेरी आँख में बस्ता है जो ख़्वाब कभी देखा भी नहीं

चलते चलते कुछ थम जाना फिर बोझल क़दमों से चलना
ये कैसी कसक सी बाक़ी है जब पाँव में वो काँटा भी नहीं

धुँदलाई हुई शामों में कोई परछाईं सी फिरती रहती है
मैं आहट सुनती हूँ जिस की वो वहम नहीं साया भी नहीं

तज़ईन-ए-लब-ओ-गेसू कैसी पिंदार का शीशा टूट गया
थी जिस के लिए सब आराइश उस ने तो हमें देखा भी नहीं


3- कभी धनक सी उतरती थी उन निगाहों में
वो शोख़ रंग भी धीमे पड़े हवाओं में

मैं तेज़-गाम चली जा रही थी उस की सम्त
कशिश अजीब थी उस दश्त की सदाओं में

वो इक सदा जो फ़रेब-ए-सदा से भी कम है
न डूब जाए कहीं तुंद-रौ हवाओं में

सुकूत-ए-शाम है और मैं हूँ गोश-बर-आवाज़
कि एक वा'दे का अफ़्सूँ सा है फ़ज़ाओं में

मिरी तरह यूँही गुम-कर्दा-राह छोड़ेगी
तुम अपनी बाँह न देना हवा की बाँहों में

नुक़ूश पाँव के लिखते हैं मंज़िल-ए-ना-याफ़्त
मिरा सफ़र तो है तहरीर मेरी राहों में


4- अब सो जाओ
और अपने हाथ को मेरे हाथ में रहने दो

तुम चाँद से माथे वाले हो
और अच्छी क़िस्मत रखते हो

बच्चे की सौ भोली सूरत
अब तक ज़िद करने की आदत

कुछ खोई खोई सी बातें
कुछ सीने में चुभती यादें

अब इन्हें भुला दो सो जाओ
और अपने हाथ को मेरे हाथ में रहने दो

सो जाओ तुम शहज़ादे हो
और कितने ढेरों प्यारे हो

अच्छा तो कोई और भी थी
अच्छा फिर बात कहाँ निकली

कुछ और भी यादें बचपन की
कुछ अपने घर के आँगन की

सब बतला दो फिर सो जाओ
और अपने हाथ को मेरे हाथ में रहने दो

ये ठंडी साँस हवाओं की
ये झिलमिल करती ख़ामोशी

ये ढलती रात सितारों की
बीते न कभी तुम सो जाओ

और अपने हाथ को मेरे हाथ में रहने दो


5- बैठा है मेरे सामने वो 
जाने किसी सोच में पड़ा है 
अच्छी आँखें मिली हैं उस को 
वहशत करना भी आ गया है 
बिछ जाऊँ मैं उस के रास्ते में 
फिर भी क्या इस से फ़ाएदा है 
हम दोनों ही ये तो जानते हैं 
वो मेरे लिए नहीं बना है 
मेरे लिए उस के हाथ काफ़ी 
उस के लिए सारा फ़ल्सफ़ा है 
मेरी नज़रों से है परेशाँ 
ख़ुद अपनी कशिश से ही ख़फ़ा है 
सब बात समझ रहा है लेकिन 
गुम-सुम सा मुझ को देखता है 
जैसे मेले में कोई बच्चा 
अपनी माँ से बिछड़ गया है 
उस के सीने में छुप के रोऊँ 
मेरा दिल तो ये चाहता है 
कैसा ख़ुश-रंग फूल है वो 
जो उस के लबों पे खिल रहा है 
या रब वो मुझे कभी न भूले 
मेरी तुझ से यही दुआ है।

Poet - Fehmida Riaz
Location: Meerut, India
Views: 308