Ali Zaryoun Poetry

shaahsaazi mein riayaat bhi nahin karte ho


shaahsaazi mein riayaat bhi nahin karte ho

shaahsaazi mein riayaat bhi nahin karte ho
saamne aakar hukoomat bhi nahin karke ho

wall par chikhte rahte ho ki mazloom hain ham
aur system se bagaavat bhi nahin karte ho

tumse kya baat karoon kaun kahaan qatl hua
tum to is zulm par hairat bhi nahin karte ho

ab mere haal par kyun tumko pareshaani hai
ab to tum mujhse mohabbat bhi nahin karte ho

pyaar karne ki sanad kaise tumhein jaari karoon
tum abhi theek se nafrat bhi nahin karte ho 
-------------------------------------
शाहसाज़ी में रियायत भी नहीं करते हो
सामने आकर हुकूमत भी नहीं करके हो

वॉल पर चीखते रहते हो कि मज़लूम हैं हम
और सिस्टम से बगावत भी नहीं करते हो

तुमसे क्या बात करूँ कौन कहाँ क़त्ल हुआ
तुम तो इस ज़ु़ल्म पर हैरत भी नहीं करते हो

अब मेरे हाल पर क्यूँ तुमको परेशानी है
अब तो तुम मुझसे मोहब्बत भी नहीं करते हो

प्यार करने की सनद कैसे तुम्हें जारी करूँ
तुम अभी ठीक से नफ़रत भी नहीं करते हो

Poet - Ali Zaryoun
Location: Faisalabad, Pakistan
Views: 4