Jaun Elia Poetry

suna hai tum ne apne aakhiri lamhon mein samjha tha


suna hai tum ne apne aakhiri lamhon mein samjha tha

qaateel
suna hai tum ne apne aakhiri lamhon mein samjha tha
ki tum meri hifazat mein ho mere baazuon mein ho

suna hai bujhte bujhte bhi tumhaare sard o murda lab se
ek shola shola-e-yaqoot-faam o rang o ummeed-e-farogh-e-zindagi-aahang lapka tha

hamein khud mein chhupa lijye
ye mera vo azaab-e-jaan hai jo mujh ko

mere apne khud apne hi jahannam mein jalata hai
tumhaara seena-e-seemin

tumhaare baazuwaan-e-mar-mareen
mere liye

mujh ik hawasnaak-e-faromaaya ki khaatir
saaz o saamaan-e-nashaat o nashsha-e-ishrat-fuzooni the

mere ayyaash lamhon ki fusoon-gar pur-junooni ke liye
sad-lazzat aageen sad-karishma pur-zubaani the

tumhein meri hawas-pesha
meri saffaaq qaateel bewafaai ka gumaan tak

is gumaan ka ek wehm-e-khud gurezaan tak nahin tha
kyun nahin tha kyun nahin tha kyun

koi hota koi to hota
jo mujh se meri saffaaq qaateel bewafaai ki saza mein

khoon thukvaata
mujhe har lamhe ki sooli pe latkaata

magar fariyaad koi bhi nahin koi
daregh uftaad koi bhi

mujhe mafroor hona chahiye tha
aur main saffaaq-qaatil bewafa khoon-rez-tar main

shehar mein khud-vaardaati
shehar mein khud-mast aazaadaana firta hoon

nigaar-e-khaak-aasooda
bahaar-e-khaak-aasooda 
----------------------------------------
"क़ातिल"
सुना है तुम ने अपने आख़िरी लम्हों में समझा था
कि तुम मेरी हिफ़ाज़त में हो मेरे बाज़ुओं में हो

सुना है बुझते बुझते भी तुम्हारे सर्द ओ मुर्दा लब से
एक शो'ला शोला-ए-याक़ूत-फ़ाम ओ रंग ओ उम्मीद-ए-फ़रोग़-ए-ज़िंदगी-आहंग लपका था

हमें ख़ुद में छुपा लीजे
ये मेरा वो अज़ाब-ए-जाँ है जो मुझ को

मिरे अपने ख़ुद अपने ही जहन्नम में जलाता है
तुम्हारा सीना-ए-सीमीं

तुम्हारे बाज़ूवान-ए-मर-मरीं
मेरे लिए

मुझ इक हवसनाक-ए-फ़रोमाया की ख़ातिर
साज़ ओ सामान-ए-नशात ओ नश्शा-ए-इशरत-फ़ुज़ूनी थे

मिरे अय्याश लम्हों की फ़ुसूँ-गर पुर-जुनूनी के लिए
सद-लज़्ज़त आगीं सद-करिश्मा पुर-ज़बानी थे

तुम्हें मेरी हवस-पेशा
मिरी सफ़्फ़ाक क़ातिल बेवफ़ाई का गुमाँ तक

इस गुमाँ का एक वहम-ए-ख़ुद गुरेज़ाँ तक नहीं था
क्यूँ नहीं था क्यूँ नहीं था क्यूँ

कोई होता कोई तो होता
जो मुझ से मिरी सफ़्फ़ाक क़ातिल बेवफ़ाई की सज़ा में

ख़ून थुकवाता
मुझे हर लम्हे की सूली पे लटकाता

मगर फ़रियाद कोई भी नहीं कोई
दरेग़ उफ़्ताद कोई भी

मुझे मफ़रूर होना चाहिए था
और मैं सफ़्फ़ाक-क़ातिल बेवफ़ा ख़ूँ-रेज़-तर मैं

शहर में ख़ुद-वारदाती
शहर में ख़ुद-मस्त आज़ादाना फिरता हूँ

निगार-ए-ख़ाक-आसूदा
बहार-ए-ख़ाक-आसूदा

Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 53