Ali Zaryoun Poetry

haalat jo hamaari hai tumhaari to nahin hai


haalat jo hamaari hai tumhaari to nahin hai

haalat jo hamaari hai tumhaari to nahin hai
aisa hai to phir ye koi yaari to nahin hai

tahqeer na kar ye meri udhadi hui gudadi
jaisi bhi hai apni hai udhaari to nahin hai

tanha hi sahi lad to rahi hai vo akeli
bas thak ke giri hai abhi haari to nahin hai

ye tu jo mohabbat mein sila maang raha hai
ai shakhs tu andar se bhikaari to nahin hai

jitni bhi kama li ho bana li ho ye duniya
duniya hai to phir dost tumhaari to nahin hai 
--------------------------------------------
हालत जो हमारी है तुम्हारी तो नहीं है
ऐसा है तो फिर ये कोई यारी तो नहीं है

तहक़ीर ना कर ये मेरी उधड़ी हुई गुदड़ी
जैसी भी है अपनी है उधारी तो नहीं है

तनहा ही सही लड़ तो रही है वो अकेली
बस थक के गिरी है अभी हारी तो नहीं है

ये तू जो मोहब्बत में सिला मांग रहा है
ऐ शख्स तू अंदर से भिखारी तो नहीं है

जितनी भी कमा ली हो बना ली हो ये दुनिया
दुनिया है तो फिर दोस्त तुम्हारी तो नहीं है

Poet - Ali Zaryoun
Location: Faisalabad, Pakistan
Views: 568