Abbas Tabish Poetry

All time most famous ghazals of ABBAS TABISH


All time most famous ghazals of ABBAS TABISH

1- Paani aankh mein bhar kar laya jaa sakta hai
Ab bhi jalta shahar bachaya jaa sakta hai

Ek mohabbat aur wo bhi nakaam mohabbat
Lekin is se kaam chalaya jaa sakta hai

Dil par paani peene aati hain ummeedein
Is chashme mein zehar milaya jaa sakta hai

Mujh gumnaam se poochhte hain Farhad o Majnu
Ishq mein kitna naam kamaya jaa sakta hai

Ye mahtaab ye raat ki peshaani ka ghaav
Aisa zakhm to dil par khaya jaa sakta hai

Fata-purana khwaab hai mera phir bhi 'Tabish'
Is mein apna-aap chupaya jaa sakta hai


2- Jo bhi min-jumla-e-ashjaar nahi ho sakta
Kuch bhi ho jaaye mera yaar nahi ho sakta

Ek mohabbat to kai baar bhi ho sakti hai
Ek hi shakhs kai baar nahi ho sakta

Jis se poochhein tire baare mein yahi kehta hai
Khoobsurat hai wafadaar nahi ho sakta


3- Di hai vahshat to ye vahshat hi musalsal ho jaaye
Raqs karte hue atraaf mein jungle ho jaaye

Ai mere dasht-mizaajo ye meri aankhein hain
In se roomal bhi chhoo jaaye to baadal ho jaaye

Chalta rehne do miyaan silsila dildari ka
Aashiqui deen nahi hai ki mukammal ho jaaye

Haalat-e-hijr mein jo raqs nahi kar sakta
Us ke haq mein yahi behtar hai ki paagal ho jaaye

Mera dil bhi kisi aaseb-zada ghar ki tarah
Khud-ba-khud khulne lage khud hi muqaffal ho jaaye

Doobti naav mein sab cheekh rahe hain 'Tabish'
Aur mujhe fikr ghazal meri mukammal ho jaaye


4- Hansne nahi deta kabhi rone nahi deta
Ye dil to koi kaam bhi hone nahi deta

Tum maang rahe ho mere dil se meri khwaahish
Bachcha to kabhi apne khilaune nahi deta

Main aap uthata hoon shab-o-roz ki zillat
Ye bojh kisi aur ko dhone nahi deta

Wo kaun hai us se to main waaqif bhi nahi hoon
Jo mujh ko kisi aur ka hone nahi deta


5- Tere liye sab chhod ke tera na raha main
Duniya bhi gayi ishq mein tujh se bhi gaya main

Ek soch mein gum hoon teri deewaar se lag kar
Manzil pe pahunch kar bhi thikane na laga main

Warna koi kab gaaliyan deta hai kisi ko
Ye us ka karam hai ki tujhe yaad raha main

Main tez hawa mein bhi bagule ki tarah tha
Aaya tha mujhe taish magar jhoom utha main

Is darja mujhe khokhla kar rakha tha gham ne
Lagta tha gaya ab ke gaya ab ke gaya main

Ye dekh mera haath mere khoon se tar hai
Khush ho ke tera madd-e-muqabil na raha main

Ek dhoke mein duniya ne meri raai talab ki
Kehte the ki patthar hoon magar bol pada main

Ab taish mein aate hi pakad leta hoon paanv
Is ishq se pehle kabhi aisa to na tha main
-------------------------------------------
1- पानी आँख में भर कर लाया जा सकता है
अब भी जलता शहर बचाया जा सकता है

एक मोहब्बत और वो भी नाकाम मोहब्बत
लेकिन इस से काम चलाया जा सकता है

दिल पर पानी पीने आती हैं उम्मीदें
इस चश्मे में ज़हर मिलाया जा सकता है

मुझ गुमनाम से पूछते हैं फ़रहाद ओ मजनूँ
इश्क़ में कितना नाम कमाया जा सकता है

ये महताब ये रात की पेशानी का घाव
ऐसा ज़ख़्म तो दिल पर खाया जा सकता है

फटा-पुराना ख़्वाब है मेरा फिर भी 'ताबिश'
इस में अपना-आप छुपाया जा सकता है


2- जो भी मिन-जुम्ला-ए-अश्जार नहीं हो सकता
कुछ भी हो जाए मिरा यार नहीं हो सकता

इक मोहब्बत तो कई बार भी हो सकती है
एक ही शख़्स कई बार नहीं हो सकता

जिस से पूछें तिरे बारे में यही कहता है
ख़ूबसूरत है वफ़ादार नहीं हो सकता


3- दी है वहशत तो ये वहशत ही मुसलसल हो जाए
रक़्स करते हुए अतराफ़ में जंगल हो जाए

ऐ मिरे दश्त-मिज़ाजो ये मिरी आँखें हैं
इन से रूमाल भी छू जाए तो बादल हो जाए

चलता रहने दो मियाँ सिलसिला दिलदारी का
आशिक़ी दीन नहीं है कि मुकम्मल हो जाए

हालत-ए-हिज्र में जो रक़्स नहीं कर सकता
उस के हक़ में यही बेहतर है कि पागल हो जाए

मेरा दिल भी किसी आसेब-ज़दा घर की तरह
ख़ुद-ब-ख़ुद खुलने लगे ख़ुद ही मुक़फ़्फ़ल हो जाए

डूबती नाव में सब चीख़ रहे हैं 'ताबिश'
और मुझे फ़िक्र ग़ज़ल मेरी मुकम्मल हो जाए


4- हँसने नहीं देता कभी रोने नहीं देता
ये दिल तो कोई काम भी होने नहीं देता

तुम माँग रहे हो मिरे दिल से मिरी ख़्वाहिश
बच्चा तो कभी अपने खिलौने नहीं देता

मैं आप उठाता हूँ शब-ओ-रोज़ की ज़िल्लत
ये बोझ किसी और को ढोने नहीं देता

वो कौन है उस से तो मैं वाक़िफ़ भी नहीं हूँ
जो मुझ को किसी और का होने नहीं देता


5- तेरे लिए सब छोड़ के तेरा न रहा मैं
दुनिया भी गई इश्क़ में तुझ से भी गया मैं

इक सोच में गुम हूँ तिरी दीवार से लग कर
मंज़िल पे पहुँच कर भी ठिकाने न लगा मैं

वर्ना कोई कब गालियाँ देता है किसी को
ये उस का करम है कि तुझे याद रहा मैं

मैं तेज़ हवा में भी बगूले की तरह था
आया था मुझे तैश मगर झूम उठा मैं

इस दर्जा मुझे खोखला कर रक्खा था ग़म ने
लगता था गया अब के गया अब के गया मैं

ये देख मिरा हाथ मिरे ख़ून से तर है
ख़ुश हो कि तिरा मद्द-ए-मुक़ाबिल न रहा मैं

इक धोके में दुनिया ने मिरी राय तलब की
कहते थे कि पत्थर हूँ मगर बोल पड़ा मैं

अब तैश में आते ही पकड़ लेता हूँ पाँव
इस इश्क़ से पहले कभी ऐसा तो न था मैं


Poet - Abbas Tabish
Location: Vehari, Lahore, Pakistan
Views: 209