Ali Zaryoun Poetry

ada-e-ishq hoon poori ana ke saath hoon main


ada-e-ishq hoon poori ana ke saath hoon main

ada-e-ishq hoon poori ana ke saath hoon main
khud apne saath hoon ya'ni khuda ke saath hoon main

mujavaraan-e-hawas tang hain ki yun kaise
baghair sharm-o-haya bhi haya ke saath hoon main

safar shuruat to hone de apne saath mera
tu khud kahega ye kaisi bala ke saath hoon main

main choo gaya to tira rang kaat daaloonga
so apne aap se tujh ko bacha ke saath hoon main

durood-bar-dil-e-wahshi salaam-bar-tap-e-ishq
khud apni hamd khud apni sana ke saath hoon main

yahi to farq hai mere aur un ke hal ke beech
shikaayaten hain unhen aur raza ke saath hoon main

main awwaleen ki izzat mein aakhireen ka noor
vo intiha hoon ki har ibtida ke saath hoon main

dikhaai doon bhi to kaise sunaai doon bhi to kyun
wara-e-naqsh-o-nawa hoon fana ke saath hoon main

b-hukm-e-yaar love kabz karne aati hai
bujha rahi hai bujaaye hawa ke saath hoon main

ye saabireen-e-mohabbat ye kaashifeen-e-junoon
inhi ke sang inheen auliya ke saath hoon main

kisi ke saath nahin hoon magar jamaal-e-ilaaha
tiri qism tire har mubtala ke saath hoon main

zamaane bhar ko pata hai main kis tariq pe hoon
sabhi ko ilm hai kis dil-ruba ke saath hoon main

munaafiqeen-e-tasavvuf ki maut hoon main ali
har ik aseel har ik be-riya ke saath hoon main 
---------------------------------------------
अदा-ए-इश्क़ हूँ पूरी अना के साथ हूँ मैं
ख़ुद अपने साथ हूँ या'नी ख़ुदा के साथ हूँ मैं

मुजावरान-ए-हवस तंग हैं कि यूँ कैसे
बग़ैर शर्म-ओ-हया भी हया के साथ हूँ मैं

सफ़र शुरूअ' तो होने दे अपने साथ मिरा
तू ख़ुद कहेगा ये कैसी बला के साथ हूँ मैं

मैं छू गया तो तिरा रंग काट डालूँगा
सो अपने आप से तुझ को बचा के साथ हूँ मैं

दुरूद-बर-दिल-ए-वहशी सलाम-बर-तप-ए-इश्क़
ख़ुद अपनी हम्द ख़ुद अपनी सना के साथ हूँ मैं

यही तो फ़र्क़ है मेरे और उन के हल के बीच
शिकायतें हैं उन्हें और रज़ा के साथ हूँ मैं

मैं अव्वलीन की इज़्ज़त में आख़िरीन का नूर
वो इंतिहा हूँ कि हर इब्तिदा के साथ हूँ मैं

दिखाई दूँ भी तो कैसे सुनाई दूँ भी तो क्यूँ
वरा-ए-नक़्श-ओ-नवा हूँ फ़ना के साथ हूँ मैं

ब-हुक्म-ए-यार लवें क़ब्ज़ करने आती है
बुझा रही है? बुझाए हवा के साथ हूँ मैं

ये साबिरीन-ए-मोहब्बत ये काशिफ़ीन-ए-जुनूँ
इन्ही के संग इन्हीं औलिया के साथ हूँ मैं

किसी के साथ नहीं हूँ मगर जमाल-ए-इलाहा
तिरी क़िस्म तिरे हर मुब्तला के साथ हूँ मैं

ज़माने भर को पता है मैं किस तरीक़ पे हूँ
सभी को इल्म है किस दिल-रुबा के साथ हूँ मैं

मुनाफ़िक़ीन-ए-तसव्वुफ़ की मौत हूँ मैं 'अली'
हर इक असील हर इक बे-रिया के साथ हूँ मैं

Poet - Ali Zaryoun
Location: Faisalabad, Pakistan
Views: 310