Sohaib Mugheera Siddiqi Poetry

sanwali kitne alfaaz hain


sanwali kitne alfaaz hain

sanwali
kitne alfaaz hain
jo meri ungliyon ke har ik por mein
ik samundar ki maanind band hain
samundar bahut hi gussaila samundar
samundar vo jo muntazir hai
ki kab tere honton ke dono sire
muskuraahat ki koshish mein khichne lagen
aur rukhsaar mein pech-o-kham daal den
ek sha'ir jo aankhen masalne lage
to hanse
aur samundar
ubalne lage 
------------------------------
"साँवली"
कितने अल्फ़ाज़ हैं
जो मिरी उँगलियों के हर इक पोर में
इक समुंदर की मानिंद बंद हैं
समुंदर बहुत ही ग़ुस्सैला समुंदर
समुंदर वो जो मुंतज़िर है
कि कब तेरे होंटों के दोनों सिरे
मुस्कुराहट की कोशिश में खिचने लगें
और रुख़्सार में पेच-ओ-ख़म डाल दें
एक शाइ'र जो आँखें मसलने लगे
तो हँसे
और समुंदर
उबलने लगे

Poet - Sohaib Mugheera Siddiqi
Location: Lahore, Pakistan
Views: 837