Umair Najmi Poetry

Barson puraana dost mila jaise gair ho


Barson puraana dost mila jaise gair ho

barson puraana dost mila jaise gair ho
dekha ruka jhijhak ke kaha tum umair ho

milte hain mushkilon se yahan ham-khayaal log
tere tamaam chaahne waalon ki khair ho

kamre mein cigaretteon ka dhuaan aur teri mahak
jaise shadeed dhundh mein baagon ki sair ho

ham mutmain bahut hain agar khush nahin bhi hain
tum khush ho kya hua jo hamaare baghair ho

pairo'n mein uske sar ko dharen iltijaa karein
ik iltijaa ki jiska na sar ho na pair ho
-------------------------------------
बरसों पुराना दोस्त मिला जैसे ग़ैर हो
देखा रुका झिझक के कहा तुम उमैर हो

मिलते हैं मुश्किलों से यहाँ हम-ख़याल लोग
तेरे तमाम चाहने वालों की ख़ैर हो

कमरे में सिगरेटों का धुआँ और तेरी महक
जैसे शदीद धुंध में बाग़ों की सैर हो

हम मुत्मइन बहुत हैं अगर ख़ुश नहीं भी हैं
तुम ख़ुश हो क्या हुआ जो हमारे बग़ैर हो

पैरों में उसके सर को धरें इल्तिजा करें
इक इल्तिजा कि जिसका न सर हो न पैर हो


Poet - Umair Najmi
Location: Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan
Views: 543