Munir Niyazi Poetry

Khayal jis ka tha mujhe ḳhayal men mila mujhe


Khayal jis ka tha mujhe ḳhayal men mila mujhe

ḳhayal jis ka tha mujhe ḳhayal men mila mujhe
saval ka javab bhi saval men mila mujhe

gaya to is tarah gaya ki muddaton nahin mila
mila jo phir to yuun ki vo malal men mila mujhe

tamam ilm ziist Ka guzishtagan se hi hua
amal guzishta daur Ka misal men mila mujhe

nihal sabz rang men jamal jis ka hai 'munir'
Kisi qadim ḳhvab ke muhal men mila mujhe
------------------------------------------
ख़याल जिसका था मुझे ख़याल में मिला मुझे
सवाल का जवाब भी सवाल में मिला मुझे

गया तो इस तरह गया कि सदियों नहीं मिला
मिला जो फिर तो यूँ की वो मलाल में मिला मुझे

तमाम इल्म ज़ीस्त का गुज़िश्तगां से ही हुआ
अमल गुज़िश्ता दौर का मिसाल में मिला मुझे

निहाल सब्ज़ रंग में जमाल जिसका है 'मुनीर'
किसी क़दीम ख़्वाब के मुहाल में मिला मुझे


Poet - Munir Niyazi
Location: Hoshiarpur, Punjab, India
Views: 713