Tehzeeb Hafi Poetry

paayal kabhi pahne kabhi kangan use kehna


paayal kabhi pahne kabhi kangan use kehna

paayal kabhi pahne kabhi kangan use kehna
le aaye muhabbat mein nayaapan use kehna

maykash kabhi aankhon ke bharose nahin rahte
shabnam kabhi bharti nahin bartan use kehna

ghar-baar bhula deti hai dariya ki muhabbat
kashti mein guzaar aaya hoon jeevan use kehna

ik shab se ziyaada nahin duniya ki maseri
ik shab se ziyaada nahin dulhan use kehna

rah rah ke dahak uthati hai ye aatish-e-vahshat
deewane hai seharaaon ka eendhan use kehna
----------------------------------------------
पायल कभी पहने कभी कंगन उसे कहना
ले आए मुहब्बत में नयापन उसे कहना

मयकश कभी आँखों के भरोसे नहीं रहते
शबनम कभी भरती नहीं बर्तन उसे कहना

घर-बार भुला देती है दरिया की मुहब्बत
कश्ती में गुज़ार आया हूँ जीवन उसे कहना

इक शब से ज़ियादा नहीं दुनिया की मसेरी
इक शब से ज़ियादा नहीं दुल्हन उसे कहना

रह रह के दहक उठती है ये आतिश-ए-वहशत
दीवाने है सहराओं का ईंधन उसे कहना

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 484