Sohaib Mugheera Siddiqi Poetry

vaham raat jaagi to kahi sehen main sukhe patte


vaham raat jaagi to kahi sehen main sukhe patte

vaham
raat jaagi to kahi sehen main sukhe patte
churmuraaye ke koi aaya koi aaya hai
aur ham shauq ke maare hue daude aaye
go ke maaloom hai tu hai na tera saaya hai

ham ke dekhen kabhi daalaan kabhi sookha chaman
us pe dheemi si tamannaa ke pukaare jaayein
phir se ik baar teri khwaab si aankhen dekhen
phir tere hijr ke haathon hi bhale maare jaayein

ham tujhe apni sadaaon main basaane waale
itna cheekhen ke tere vaham lippat ke roein
par tere vaham bhi teri hi tarah qaatil hain
so wahi dard hai jaana kaho kaise soein

bas isee karb ke pehlu main guzaare hain peher
bas yoonhi gham kabhi kaafi kabhi thode aaye
phir achaanak kisi lamhe main jo chatkhe patte
ham wahi shauq ke maare hue daude aaye 
--------------------------------------
वहम
रात जागी तो कहीं सेहेन मैं सूखे पत्ते
चुरमुराए के कोई आया कोई आया है
और हम शौक़ के मारे हुए दौड़े आए
गो के मालूम है तू है न तेरा साया है

हम के देखें कभी दालान कभी सूखा चमन
उस पे धीमी सी तमन्ना के पुकारे जाएं
फिर से इक बार तेरी ख्वाब सी आंखें देखें
फिर तेरे हिज्र के हाथों ही भले मारे जाएं

हम तुझे अपनी सदाओं मैं बसाने वाले
इतना चीखें के तेरे वहम लिप्पत के रोएं
पर तेरे वहम भी तेरी ही तरह क़ातिल हैं
सो वही दर्द है जाना कहो कैसे सोएं

बस इसी करब के पहलु मैं गुज़ारे हैं पेहेर
बस यूँही ग़म कभी काफी कभी थोड़े आए
फिर अचानक किसी लम्हे मैं जो चटख़े पत्ते
हम वही शौक़ के मारे हुए दौड़े आए


Poet - Sohaib Mugheera Siddiqi
Location: Lahore, Pakistan
Views: 132