Afkar Alvi Poetry

Jo bhi izzat ke dar se dar jaaye


Jo bhi izzat ke dar se dar jaaye

jo bhi izzat ke dar se dar jaaye
mat kare ishq apne ghar jaaye

baat aa jaaye jab duao par
isse behtar hai banda mar jaaye

thodi si aur der saamne rah
meri aankhon ka pet bhar jaaye

al muhaimin ke ghar bhi khatre hai
jaaye bhi to koi kidhar jaaye

haan aqeeda agar na kaid rakhe
phir to insaan kuchh bhi kar jaaye

bebaasi ki ye aakhiri had hai
meri aulaad aap par jaaye

uske chehre par aaj udaasi thi
haay afkaar alvee mar jaaye
------------------------------
जो भी इज़्ज़त के डर से डर जाए
मत करे इश्क़ अपने घर जाए

बात आ जाये जब दुआओं पर
इससे बेहतर है बंदा मर जाए

थोड़ी सी और देर सामने रह
मेरी आँखों का पेट भर जाए

अल-मुहैमिन के घर भी खतरे हैं
जाए भी तो कोई किधर जाए

हाँ अकीदा अगर न क़ैद रखे
फिर तो इंसान कुछ भी कर जाए

बेबसी की ये आख़िरी हद है
मेरी औलाद आप पर जाए

उसके चेहरे पर आज उदासी थी
हाए 'अफ़्कार अल्वी' मर जाए

Poet - Afkar Alvi
Location: Pakistan
Views: 356