Jaun Elia Poetry

Iza-dahi ki daad jo paata raha hoon main


Iza-dahi ki daad jo paata raha hoon main

Iza-dahi ki daad jo paata raha hoon main
Har naaz-aafreen ko sataata raha hoon main

Ae khush-khiraam paanv ke chaale to gin zara
Tujh ko kahan kahan na phiraata raha hoon main

Ek husn-e-be-misaal ki tamseel ke liye
Parchhaiyon pe rang giraata raha hoon main

Kya mil gaya zameer-e-hunar bech kar mujhe
Itna ki sirf kaam chalaata raha hoon main

Ruhon ke parda-posh gunaahon se be-khabar
Jismon ki nekiyaan hi ginata raha hoon main

Tujh ko khabar nahin ki tera karb dekh kar
Aksar tera mazaaq udaata raha hoon main

Shayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui
Lekin yaqeen sab ko dilaata raha hoon main

Ek satr bhi kabhi na likhi main ne tere naam
Paagal tujhi ko yaad bhi aata raha hoon main

Jis din se e'timaad mein aaya tera shabaab
Us din se tujh pe zulm hi dhaata raha hoon main

Apna misaaliya mujhe ab tak na mil saka
Zarron ko aaftaab banaata raha hoon main

Bedaar kar ke tere badan ki khud-aagahi
Tere badan ki umr ghataata raha hoon main

Kal dopahar ajeeb si ek be-dili rahi
Bas teeliyan jala ke bujhaata raha hoon main
--------------------------------------------------------------
ईज़ा-दही की दाद जो पाता रहा हूँ मैं
हर नाज़-आफ़रीं को सताता रहा हूँ मैं

ऐ ख़ुश-ख़िराम पाँव के छाले तो गिन ज़रा
तुझ को कहाँ कहाँ न फिराता रहा हूँ मैं

इक हुस्न-ए-बे-मिसाल की तमसील के लिए
परछाइयों पे रंग गिराता रहा हूँ मैं

क्या मिल गया ज़मीर-ए-हुनर बेच कर मुझे
इतना कि सिर्फ़ काम चलाता रहा हूँ मैं

रूहों के पर्दा-पोश गुनाहों से बे-ख़बर
जिस्मों की नेकियाँ ही गिनाता रहा हूँ मैं

तुझ को ख़बर नहीं कि तिरा कर्ब देख कर
अक्सर तिरा मज़ाक़ उड़ाता रहा हूँ मैं

शायद मुझे किसी से मोहब्बत नहीं हुई
लेकिन यक़ीन सब को दिलाता रहा हूँ मैं

इक सत्र भी कभी न लिखी मैं ने तेरे नाम
पागल तुझी को याद भी आता रहा हूँ मैं

जिस दिन से ए'तिमाद में आया तिरा शबाब
उस दिन से तुझ पे ज़ुल्म ही ढाता रहा हूँ मैं

अपना मिसालिया मुझे अब तक न मिल सका
ज़र्रों को आफ़्ताब बनाता रहा हूँ मैं

बेदार कर के तेरे बदन की ख़ुद-आगही
तेरे बदन की उम्र घटाता रहा हूँ मैं

कल दोपहर अजीब सी इक बे-दिली रही
बस तीलियाँ जला के बुझाता रहा हूँ मैं

Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 266