1. ab aayein ya na aayein idhar poochte chalo..

ab aayein ya na aayein idhar poochte chalo
kya chahti hai un ki nazar poochte chalo

ham se agar hai tark-e-taalluq to kya hua
yaaro koi to un ki khabar poochte chalo

jo khud ko kah rahe hain ki manzil-shanaas hain
un ko bhi kya khabar hai magar poochte chalo

kis manzil-e-muraad ki jaanib ravaan hain ham
ai rah-ravaan-e-khaak-basar poochte chalo 
----------------------------------------------
अब आएँ या न आएँ इधर पूछते चलो
क्या चाहती है उन की नज़र पूछते चलो

हम से अगर है तर्क-ए-तअल्लुक़ तो क्या हुआ
यारो कोई तो उन की ख़बर पूछते चलो

जो ख़ुद को कह रहे हैं कि मंज़िल-शनास हैं
उन को भी क्या ख़बर है मगर पूछते चलो

किस मंज़िल-ए-मुराद की जानिब रवाँ हैं हम
ऐ रह-रवान-ए-ख़ाक-बसर पूछते चलो

Read more

2. havas-naseeb nazar ko kahi qaraar nahin..

havas-naseeb nazar ko kahi qaraar nahin
main muntazir hoon magar tera intizaar nahin

humeen se rang-e-gulistaan humeen se rang-e-bahaar
humeen ko nazm-e-gulistaan pe ikhtiyaar nahin

abhi na chhed mohabbat ke geet ai mutarib
abhi hayaat ka maahol khush-gawaar nahin

tumhaare ahad-e-wafaa ko main ahad kya samjhoon
mujhe khud apni mohabbat pe e'tibaar nahin

na jaane kitne gile is mein muztarib hain nadeem
vo ek dil jo kisi ka gila-guzaar nahin

gurez ka nahin qaail hayaat se lekin
jo sach kahoon ki mujhe maut naagawaar nahin

ye kis maqaam pe pahuncha diya zamaane ne
ki ab hayaat pe tera bhi ikhtiyaar nahin 
-----------------------------------
हवस-नसीब नज़र को कहीं क़रार नहीं
मैं मुंतज़िर हूँ मगर तेरा इंतिज़ार नहीं

हमीं से रंग-ए-गुलिस्ताँ हमीं से रंग-ए-बहार
हमीं को नज़्म-ए-गुलिस्ताँ पे इख़्तियार नहीं

अभी न छेड़ मोहब्बत के गीत ऐ मुतरिब
अभी हयात का माहौल ख़ुश-गवार नहीं

तुम्हारे अहद-ए-वफ़ा को मैं अहद क्या समझूँ
मुझे ख़ुद अपनी मोहब्बत पे ए'तिबार नहीं

न जाने कितने गिले इस में मुज़्तरिब हैं नदीम
वो एक दिल जो किसी का गिला-गुज़ार नहीं

गुरेज़ का नहीं क़ाइल हयात से लेकिन
जो सच कहूँ कि मुझे मौत नागवार नहीं

ये किस मक़ाम पे पहुँचा दिया ज़माने ने
कि अब हयात पे तेरा भी इख़्तियार नहीं

Read more

3. meri taqdeer mein jalna hai to jal jaaunga..

meri taqdeer mein jalna hai to jal jaaunga
tera vaada to nahin hoon jo badal jaaunga

soz bhar do mere sapne mein gham-e-ulfat ka
main koi mom nahin hoon jo pighal jaaunga

dard kehta hai ye ghabra ke shab-e-furqat mein
aah ban kar tire pahluu se nikal jaaunga

mujh ko samjhaao na saahir main ik din khud hi
thokren kha ke mohabbat mein sambhal jaaunga 
--------------------------------------------------
मेरी तक़दीर में जलना है तो जल जाऊँगा
तेरा वादा तो नहीं हूँ जो बदल जाऊँगा

सोज़ भर दो मिरे सपने में ग़म-ए-उल्फ़त का
मैं कोई मोम नहीं हूँ जो पिघल जाऊँगा

दर्द कहता है ये घबरा के शब-ए-फ़ुर्क़त में
आह बन कर तिरे पहलू से निकल जाऊँगा

मुझ को समझाओ न 'साहिर' मैं इक दिन ख़ुद ही
ठोकरें खा के मोहब्बत में सँभल जाऊँगा
Read more

4. itni haseen itni jawaan raat kya karein..

itni haseen itni jawaan raat kya karein
jaage hain kuchh ajeeb se jazbaat kya karein

pedon ke baazuon mein mehkati hai chaandni
bechain ho rahe hain khayaalaat kya karein

saanson mein ghul rahi hai kisi saans ki mahak
daaman ko choo raha hai koi haath kya karein

shaayad tumhaare aane se ye bhed khul sake
hairaan hain ki aaj nayi baat kya karein 
-------------------------------------
इतनी हसीन इतनी जवाँ रात क्या करें
जागे हैं कुछ अजीब से जज़्बात क्या करें

पेड़ों के बाज़ुओं में महकती है चाँदनी
बेचैन हो रहे हैं ख़यालात क्या करें

साँसों में घुल रही है किसी साँस की महक
दामन को छू रहा है कोई हात क्या करें

शायद तुम्हारे आने से ये भेद खुल सके
हैरान हैं कि आज नई बात क्या करें
Read more

5. jurm-e-ulfat pe hamein log saza dete hain..

jurm-e-ulfat pe hamein log saza dete hain
kaise naadaan hain sholon ko hawa dete hain

ham se deewane kahi tark-e-wafa karte hain
jaan jaaye ki rahe baat nibha dete hain

aap daulat ke taraazu mein dilon ko taulein
ham mohabbat se mohabbat ka sila dete hain

takht kya cheez hai aur laal-o-jawaahar kya hain
ishq waale to khudaai bhi luta dete hain

ham ne dil de bhi diya ahad-e-wafaa le bhi liya
aap ab shauq se de len jo saza dete hain 
-----------------------------------
जुर्म-ए-उल्फ़त पे हमें लोग सज़ा देते हैं
कैसे नादान हैं शोलों को हवा देते हैं

हम से दीवाने कहीं तर्क-ए-वफ़ा करते हैं
जान जाए कि रहे बात निभा देते हैं

आप दौलत के तराज़ू में दिलों को तौलें
हम मोहब्बत से मोहब्बत का सिला देते हैं

तख़्त क्या चीज़ है और लाल-ओ-जवाहर क्या हैं
इश्क़ वाले तो ख़ुदाई भी लुटा देते हैं

हम ने दिल दे भी दिया अहद-ए-वफ़ा ले भी लिया
आप अब शौक़ से दे लें जो सज़ा देते हैं
Read more

6. sansaar ki har shay ka itna hi fasana hai..

sansaar ki har shay ka itna hi fasana hai
ik dhund se aana hai ik dhund mein jaana hai

ye raah kahaan se hai ye raah kahaan tak hai
ye raaz koi raahi samjha hai na jaana hai

ik pal ki palak par hai thehri hui ye duniya
ik pal ke jhapakne tak har khel suhaana hai

kya jaane koi kis par kis mod par kya beete
is raah mein ai raahi har mod bahaana hai

ham log khilauna hain ik aise khilaadi ka
jis ko abhi sadiyon tak ye khel rachaana hai 
------------------------------------
संसार की हर शय का इतना ही फ़साना है
इक धुँद से आना है इक धुँद में जाना है

ये राह कहाँ से है ये राह कहाँ तक है
ये राज़ कोई राही समझा है न जाना है

इक पल की पलक पर है ठहरी हुई ये दुनिया
इक पल के झपकने तक हर खेल सुहाना है

क्या जाने कोई किस पर किस मोड़ पर क्या बीते
इस राह में ऐ राही हर मोड़ बहाना है

हम लोग खिलौना हैं इक ऐसे खिलाड़ी का
जिस को अभी सदियों तक ये खेल रचाना है

Read more

7. sadiyon se insaan ye sunta aaya hai..

sadiyon se insaan ye sunta aaya hai
dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai

ham ko in sasti khushiyon ka lobh na do
ham ne soch samajh kar gham apnaaya hai

jhooth to qaateel thehra is ka kya rona
sach ne bhi insaan ka khun bahaaya hai

paidaish ke din se maut ki zad mein hain
is maqtal mein kaun hamein le aaya hai

awwal awwal jis dil ne barbaad kiya
aakhir aakhir vo dil hi kaam aaya hai

itne din ehsaan kiya deewaanon par
jitne din logon ne saath nibhaaya hai 
--------------------------------
सदियों से इंसान ये सुनता आया है
दुख की धूप के आगे सुख का साया है

हम को इन सस्ती ख़ुशियों का लोभ न दो
हम ने सोच समझ कर ग़म अपनाया है

झूट तो क़ातिल ठहरा इस का क्या रोना
सच ने भी इंसाँ का ख़ूँ बहाया है

पैदाइश के दिन से मौत की ज़द में हैं
इस मक़्तल में कौन हमें ले आया है

अव्वल अव्वल जिस दिल ने बर्बाद किया
आख़िर आख़िर वो दिल ही काम आया है

इतने दिन एहसान किया दीवानों पर
जितने दिन लोगों ने साथ निभाया है

Read more

8. saza ka haal sunaayein jazaa ki baat karein..

saza ka haal sunaayein jazaa ki baat karein
khuda mila ho jinhen vo khuda ki baat karein

unhen pata bhi chale aur vo khafa bhi na hon
is ehtiyaat se kya muddaa ki baat karein

hamaare ahad ki tahzeeb mein qaba hi nahin
agar qaba ho to band-e-qaba ki baat karein

har ek daur ka mazhab naya khuda laaya
karein to ham bhi magar kis khuda ki baat karein

wafa-shiaar kai hain koi haseen bhi to ho
chalo phir aaj usi bewafa ki baat karein 
-------------------------------------
सज़ा का हाल सुनाएँ जज़ा की बात करें
ख़ुदा मिला हो जिन्हें वो ख़ुदा की बात करें

उन्हें पता भी चले और वो ख़फ़ा भी न हों
इस एहतियात से क्या मुद्दआ की बात करें

हमारे अहद की तहज़ीब में क़बा ही नहीं
अगर क़बा हो तो बंद-ए-क़बा की बात करें

हर एक दौर का मज़हब नया ख़ुदा लाया
करें तो हम भी मगर किस ख़ुदा की बात करें

वफ़ा-शिआर कई हैं कोई हसीं भी तो हो
चलो फिर आज उसी बेवफ़ा की बात करें
Read more

9. fan jo nadaar tak nahin pahuncha..

fan jo nadaar tak nahin pahuncha
abhi meyaar tak nahin pahuncha

us ne bar-waqt be-rukhi barti
shauq aazaar tak nahin pahuncha

aks-e-may ho ki jalwa-e-gul ho
rang-e-rukhsaar tak nahin pahuncha

harf-e-inkaar sar buland raha
zoof-e-iqraar tak nahin pahuncha

hukm-e-sarkaar kii pahunch mat pooch
ahl-e-sarkaar tak nahin pahuncha

adl-gaahen to door kii shay hain
qatl akhbaar tak nahin pahuncha

inqilaabaat-e-dahr kii buniyaad
haq jo haqdaar tak nahin pahuncha

vo maseeha-nafs nahin jis ka
silsila-daar tak nahin pahuncha 
--------------------------------
फ़न जो नादार तक नहीं पहुँचा
अभी मेयार तक नहीं पहुँचा

उस ने बर-वक़्त बे-रुख़ी बरती
शौक़ आज़ार तक नहीं पहुँचा

अक्स-ए-मय हो कि जल्वा-ए-गुल हो
रंग-ए-रुख़्सार तक नहीं पहुँचा

हर्फ़-ए-इंकार सर बुलंद रहा
ज़ोफ़-ए-इक़रार तक नहीं पहुँचा

हुक्म-ए-सरकार की पहुँच मत पूछ
अहल-ए-सरकार तक नहीं पहुँचा

अद्ल-गाहें तो दूर की शय हैं
क़त्ल अख़बार तक नहीं पहुँचा

इन्क़िलाबात-ए-दहर की बुनियाद
हक़ जो हक़दार तक नहीं पहुँचा

वो मसीहा-नफ़स नहीं जिस का
सिलसिला-दार तक नहीं पहुँचा
Read more

10. ponch kar ashk apni aankhon se muskuraao to koii baat bane..

ponch kar ashk apni aankhon se muskuraao to koii baat bane
sar jhukaane se kuchh nahin hota sar uthao to koii baat bane

zindagi bheek mein nahin milti zindagi badh ke cheeni jaati hai
apna haq sang-dil zamaane se cheen paao to koii baat bane

rang aur nasl zaat aur mazhab jo bhi hai aadmi se kamtar hai
is haqeeqat ko tum bhi meri tarah maan jaao to koii baat bane

nafratoin ke jahaan mein ham ko pyaar kii bastiyaan basaani hain
door rahna koii kamaal nahin paas aao to koii baat bane 
--------------------------------------------------
पोंछ कर अश्क अपनी आँखों से मुस्कुराओ तो कोई बात बने
सर झुकाने से कुछ नहीं होता सर उठाओ तो कोई बात बने

ज़िन्दगी भीक में नहीं मिलती ज़िन्दगी बढ़ के छीनी जाती है
अपना हक़ संग-दिल ज़माने से छीन पाओ तो कोई बात बने

रंग और नस्ल ज़ात और मज़हब जो भी है आदमी से कमतर है
इस हक़ीक़त को तुम भी मेरी तरह मान जाओ तो कोई बात बने

नफ़रतों के जहान में हम को प्यार की बस्तियाँ बसानी हैं
दूर रहना कोई कमाल नहीं पास आओ तो कोई बात बने
Read more

11. Apna dil pesh karun apni vafa pesh karun..

Apna dil pesh karun apni vafa pesh karun
kuchh samajh men nahin aata tujhe kya pesh karun

tere milne ki ḳhushi men koi naghma chheḌun
ya tire dard-e-judai Ka gila pesh karun

mere ḳhvabon men bhi tu mere ḳhayalon men bhi tu
kaun si chiiz tujhe tujh se juda pesh karun

jo tire dil ko lubhae vo ada mujh men nahin
kyuun na tujh ko koi Teri hi ada pesh karun
------------------------------------
अपना दिल पेश करूँ अपनी वफ़ा पेश करूँ
कुछ समझ में नहीं आता तुझे क्या पेश करूँ

तेरे मिलने की ख़ुशी में कोई नग़मा छेड़ूँ
या तेरे दर्द-ए-जुदाई का गिला पेश करूँ

मेरे ख़्वाबों में भी तू मेरे ख़यालों में भी तू
कौन सी चीज़ तुझे तुझ से जुदा पेश करूँ

जो तेरे दिल को लुभाए वो अदा मुझ में नहीं
क्यों न तुझको कोई तेरी ही अदा पेश करूँ

Read more

12. Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se ham..

Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se ham

Thukra na den jahan ko kahin be-dili se ham


mayusi-e-maal-e-mohabbat na puchhiye

apnon se pesh aae hain beganagi se ham


lo aaj ham ne tod diya rishta-e-umid

lo ab kabhi gila na karenge kisi se ham


ubhrenge ek baar abhi dil ke valvale

go dab gae hain bar-e-ġham-e-zindagi se ham


gar zindagi men mil gae phir ittifaq se

puchhenge apna haal tiri bebasi se ham


allah-re fareb-e-mashiyyat ki aaj tak

duniya ke zulm sahte rahe ḳhamushi se ham

-------------------------------------------

तंग आ चुके हैं कश्मकश-ए-ज़िंदगी से हम

ठुकरा न दें जहान को कहीं बे-दिली से हम।


मायूसी-ए-माल-ए-मोहब्बत न पूछिए

अपनों से पेश आए हैं बेगानगी से हम।


लो आज हमने तोड़ दिया रिश्ता-ए-उम्मीद

लो अब कभी गिला न करेंगे किसी से हम।


उभरेंगे एक बार अभी दिल के जोश से

गो दब गए हैं बार-ए-ग़म-ए-ज़िंदगी से हम।


गर ज़िंदगी में मिल गए फिर इत्तिफाक से

पूछेंगे अपना हाल तिरी बेबसी से हम।


अल्लाह-रे फ़रेब-ए-मशियत की आज तक

दुनिया के जुल्म सहते रहे ख़ामोशी से हम।


Read more

13. Gulshan gulshan phuul..

gulshan gulshan phuul

daman daman dhuul


marne par taazir

jiine par mahsul


har jazba maslub

har ḳhvahish maqtul


ishq pareshan-hal

naz-e-husn malul


naara-e-haq maatub

makr-o-riya maqbul


sanvra nahin jahan

aae kai rasul

---------------------

गुलशन गुलशन फूल

दामन दामन धूल


मरने पर ताज़ीर

जीने पर महसूल


हर जज़्बा मसलूब

हर ख़्वाहिश मक़तूल


इश्क़ परेशान-हाल

नाज़-ए-हुस्न मलूल


नारा-ए-हक़ मअतूब

मकर-ओ-रियā मक़बूल


संवरा नहीं जहाँ

आए कई रसूल


Read more

14. Main zindagi ka saath nibhata chala gaya..

main zindagi ka saath nibhata chala gaya
har fikr ko dhuen men udata chala gaya

barbadiyon ka sog manana fuzul tha
barbadiyon ka jashn manata chala gaya

jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya
jo kho gaya main us ko bhulata chala gaya

ġham aur ḳhushi men farq na mahsus ho jahan
main dil ko us maqam pe laata chala gaya
------------------------------------------
मैं ज़िंदगी का साथ निभाता चला गया
हर फ़िक्र को धुएँ में उड़ाता चला गया

बर्बादियों का सोग मनाना फ़ुज़ूल था
बर्बादियों का जश्न मनाता चला गया

जो मिल गया उसे मुक़द्दर समझ लिया
जो खो गया मैं उसको भूलाता चला गया

ग़म और ख़ुशी में फ़र्क़ न महसूस हो जहाँ
मैं दिल को उस मक़ाम पे लाता चला गया

Read more

15. Kabhi khud pe kabhi haalaat pe rona aaya..

कभी ख़ुद पे कभी हालात पे रोना आया
बात निकली तो हर इक बात पे रोना आया

हम तो समझे थे कि हम भूल गए हैं उन को
क्या हुआ आज ये किस बात पे रोना आया

किस लिए जीते हैं हम किस के लिए जीते हैं
बारहा ऐसे सवालात पे रोना आया

कौन रोता है किसी और की ख़ातिर ऐ दोस्त
सब को अपनी ही किसी बात पे रोना आया
----------------------------------
Kabhi khud pe kabhi haalaat pe rona aaya
Baat nikli toh har ik baat pe rona aaya

Hum toh samjhe the ke hum bhool gaye hain unko
Kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya

Kis liye jeete hain hum kis ke liye jeete hain
Baaraaha aise sawaalaat pe rona aaya

Kaun rota hai kisi aur ki khaatir ai dost
Sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya
Read more

16. tum apna ranj-o-ghum apni pareshaani mujhe de do..

तुम अपना रंज-ओ-ग़म अपनी परेशानी मुझे दे दो
तुम्हें ग़म की क़सम इस दिल की वीरानी मुझे दे दो 

ये माना मैं किसी क़ाबिल नहीं हूँ इन निगाहों में
बुरा क्या है अगर ये दुख ये हैरानी मुझे दे दो

मैं देखूँ तो सही दुनिया तुम्हें कैसे सताती है
कोई दिन के लिए अपनी निगहबानी मुझे दे दो 

वो दिल जो मैं ने माँगा था मगर ग़ैरों ने पाया है
बड़ी शय है अगर उस की पशेमानी मुझे दे दो

-------------------------------------

tum apanaa ra.nj-o-Gam, apani pareshaan mujhe de do 
tumhe.n gham kii qasam, is dil kI virAni mujhe de do

ye maanaa mai.n kisii qaabil nahii.n huu.N in nigaaho.n me.n
buraa kyaa hai agar, ye dukh ye hairaani mujhe de do

mai.n dekhuu.n to sahii, duniyaa tumhe.n kaise sataati hai 
koi din ke liye, apni nigahabaani mujhe de do

vo dil jo maine maa.ngaa thaa magar gairo.n ne paayaa
ba.Dk shai hai agar, usaki pashemaani mujhe de do
Read more