1- Ba-zahir kya hai jo hasil nahi hai
Magar ye to meri manzil nahi hai
Ye toda ret ka hai beech dariya
Ye beh jayega ye saahil nahi hai
Bohat aasan hai pehchaan us ki
Agar dukhta nahi to dil nahi hai
Musafir woh ajab hai karwan mein
Ke jo humraah hai shaamil nahi hai
Bas ek maqtul hi maqtul kab hai
Bas ek qatil hi to qatil nahi hai
Kabhi to raat ko tum raat keh do
Ye kaam itna bhi ab mushkil nahi hai
2- Sookhi tahni tanha chidiya pheeka chand
Aankhon ke sehra mein ek nami ka chand
Us maathe ko choome kitne din beetay
Jis maathe ki khatir tha ek tika chand
Pehle tu lagti thi kitni begana
Kitna mubham hota hai pehli ka chand
Kam ho kaise in khushiyon se tera gham
Lehron mein kab bahta hai naddi ka chand
Aao ab hum is ke bhi tukde kar lein
Dhaka, Rawalpindi aur Dilli ka chand
3- Ye mujh se poochhte hain charagar kyun
Ke tu zinda to hai ab tak magar kyun
Jo rasta chhod ke main ja raha hoon
Ussi raste pe jaati hai nazar kyun
Thakan se choor paas aaya tha us ke
Gira sote mein mujh par ye shajar kyun
Sunayenge kabhi fursat mein tum ko
Ke hum barson rahe hain dar-ba-dar kyun
Yahan bhi sab hain begana hi mujh se
Kahoon main kya ke yaad aaya hai ghar kyun
Main khush rehta agar samjha na hota
Ye duniya hai to main hoon deeda-var kyun
4- Pyaas ki kaise laaye taab koi
Nahi dariya to ho saraab koi
Zakhm-e-dil mein jahan mehakta hai
Isi kyari mein tha gulaab koi
Raat bajti thi door shehnaai
Roya pee kar bohot sharaab koi
Dil ko ghere hain rozgar ke gham
Raddi mein kho gayi kitaab koi
Kaun sa zakhm kis ne bakshe hai
Is ka rakkhe kahan hisaab koi
Phir main sunne laga hoon is dil ki
Aane wala hai phir azaab koi
Shab ki dehleez par shafaq hai lahu
Phir hua qatl aaftaab koi
5- Na khushi de to kuch dilasa de
Dost jaise ho mujh ko behla de
Aagahi se mili hai tanhaai
Aa meri jaan mujh ko dhoka de
Ab to takmeel ki bhi shart nahi
Zindagi ab to ek tamanna de
Aye safar itna rayegan to na ja
Na ho manzil kahin to pahucha de
Tark karna hai gar ta’alluq to
Khud na ja tu kisi se kehla de
----------------------------------
1- ब-ज़ाहिर क्या है जो हासिल नहीं है
मगर ये तो मिरी मंज़िल नहीं है
ये तूदा रेत का है बीच दरिया
ये बह जाएगा ये साहिल नहीं है
बहुत आसान है पहचान उस की
अगर दुखता नहीं तो दिल नहीं है
मुसाफ़िर वो अजब है कारवाँ में
कि जो हमराह है शामिल नहीं है
बस इक मक़्तूल ही मक़्तूल कब है
बस इक क़ातिल ही तो क़ातिल नहीं है
कभी तो रात को तुम रात कह दो
ये काम इतना भी अब मुश्किल नहीं है
2- सूखी टहनी तन्हा चिड़िया फीका चाँद
आँखों के सहरा में एक नमी का चाँद
उस माथे को चूमे कितने दिन बीते
जिस माथे की ख़ातिर था इक टीका चाँद
पहले तू लगती थी कितनी बेगाना
कितना मुबहम होता है पहली का चाँद
कम हो कैसे इन ख़ुशियों से तेरा ग़म
लहरों में कब बहता है नद्दी का चाँद
आओ अब हम इस के भी टुकड़े कर लें
ढाका रावलपिंडी और दिल्ली का चाँद
3- ये मुझ से पूछते हैं चारागर क्यूँ
कि तू ज़िंदा तो है अब तक मगर क्यूँ
जो रस्ता छोड़ के मैं जा रहा हूँ
उसी रस्ते पे जाती है नज़र क्यूँ
थकन से चूर पास आया था उस के
गिरा सोते में मुझ पर ये शजर क्यूँ
सुनाएँगे कभी फ़ुर्सत में तुम को
कि हम बरसों रहे हैं दर-ब-दर क्यूँ
यहाँ भी सब हैं बेगाना ही मुझ से
कहूँ मैं क्या कि याद आया है घर क्यूँ
मैं ख़ुश रहता अगर समझा न होता
ये दुनिया है तो मैं हूँ दीदा-वर क्यूँ
4- प्यास की कैसे लाए ताब कोई
नहीं दरिया तो हो सराब कोई
ज़ख़्म-ए-दिल में जहाँ महकता है
इसी क्यारी में था गुलाब कोई
रात बजती थी दूर शहनाई
रोया पी कर बहुत शराब कोई
दिल को घेरे हैं रोज़गार के ग़म
रद्दी में खो गई किताब कोई
कौन सा ज़ख़्म किस ने बख़्शा है
इस का रक्खे कहाँ हिसाब कोई
फिर मैं सुनने लगा हूँ इस दिल की
आने वाला है फिर अज़ाब कोई
शब की दहलीज़ पर शफ़क़ है लहू
फिर हुआ क़त्ल आफ़्ताब कोई
5- न ख़ुशी दे तो कुछ दिलासा दे
दोस्त जैसे हो मुझ को बहला दे
आगही से मिली है तन्हाई
आ मिरी जान मुझ को धोका दे
अब तो तकमील की भी शर्त नहीं
ज़िंदगी अब तो इक तमन्ना दे
ऐ सफ़र इतना राएगाँ तो न जा
न हो मंज़िल कहीं तो पहुँचा दे
तर्क करना है गर तअ'ल्लुक़ तो
ख़ुद न जा तू किसी से कहला दे