Javed Akhtar Poetry

khala ke gehre samundron mein


khala ke gehre samundron mein

khala ke gehre samundron mein
agar kahi koi hai jazeera
jahaan koi saans le raha hai
jahaan koi dil dhadak raha hai
jahaan zehaanat ne ilm ka jaam pee liya hai
jahaan ke baasi
khala ke gehre samundron mein
utaarne ko hain apne beḍe
talash karne koi jazeera
jahaan koi saans le raha hai
jahaan koi dil dhadak raha hai
meri dua hai
ki us jazeera mein rahne waalon ke jism ka rang
is jazeera ke rahne waalon ke jism ke jitne rang hain
in se mukhtalif ho
badan ki haiat bhi mukhtalif
aur shakl-o-soorat bhi mukhtalif ho
meri dua hai
agar hai un ka bhi koi mazhab
to is jazeera ke mazhabon se vo mukhtalif ho
meri dua hai
ki is jazeera ki sab zabaanon se mukhtalif ho zabaan un ki
meri dua hai
khala ke gehre samundron se guzar ke
ik din
is ajnabi nasl ke jahaazi
khalaai beḍe mein
is jazeera tak aayein
ham un ke mezbaan hon
ham un ko hairat se dekhte hon
vo paas aa kar
hamein ishaaron se ye bataayein
ki un se ham itne mukhtalif hain
ki un ko lagta hai
is jazeera ke rahne waale
sab ek se hain
meri dua hai
ki is jazeera ke rahne waale
us ajnabi nasl ke kahe ka yaqeen kar len 
--------------------------------------------
ख़ला के गहरे समुंदरों में
अगर कहीं कोई है जज़ीरा
जहाँ कोई साँस ले रहा है
जहाँ कोई दिल धड़क रहा है
जहाँ ज़ेहानत ने इल्म का जाम पी लिया है
जहाँ के बासी
ख़ला के गहरे समुंदरों में
उतारने को हैं अपने बेड़े
तलाश करने कोई जज़ीरा
जहाँ कोई साँस ले रहा है
जहाँ कोई दिल धड़क रहा है
मिरी दुआ है
कि उस जज़ीरे में रहने वालों के जिस्म का रंग
इस जज़ीरे के रहने वालों के जिस्म के जितने रंग हैं
इन से मुख़्तलिफ़ हो
बदन की हैअत भी मुख़्तलिफ़
और शक्ल-ओ-सूरत भी मुख़्तलिफ़ हो
मिरी दुआ है
अगर है उन का भी कोई मज़हब
तो इस जज़ीरे के मज़हबों से वो मुख़्तलिफ़ हो
मिरी दुआ है
कि इस जज़ीरे की सब ज़बानों से मुख़्तलिफ़ हो ज़बान उन की
मिरी दुआ है
ख़ला के गहरे समुंदरों से गुज़र के
इक दिन
इस अजनबी नस्ल के जहाज़ी
ख़लाई बेड़े में
इस जज़ीरे तक आएँ
हम उन के मेज़बाँ हों
हम उन को हैरत से देखते हों
वो पास आ कर
हमें इशारों से ये बताएँ
कि उन से हम इतने मुख़्तलिफ़ हैं
कि उन को लगता है
इस जज़ीरे के रहने वाले
सब एक से हैं
मिरी दुआ है
कि इस जज़ीरे के रहने वाले
उस अजनबी नस्ल के कहे का यक़ीन कर लें


Poet - Javed Akhtar
Location: Gwalior, Madhya Pradesh, India
Views: 33