Tehzeeb Hafi Poetry

kitni raatein kaat chuka hoon par vo vasl ka din


kitni raatein kaat chuka hoon par vo vasl ka din

kitni raatein kaat chuka hoon par vo vasl ka din
is dariya se pehle kitne jungle aate hain

hamein to neend bhi aati hai to aadhi aati hai
vo kaise hain jinko khwaab mukammal aate hain

is raaste par ped bhi aate hain usne poocha
jal kar khushboo dene waale sandal aate hain

kaun hai jo is dil mein khaamoshi se utarega
dekho is awaaz pe kitne paagal aate hain

ik se bharr kar ek sawaari asp-o-feel bhi hai
jaane kyun ham teri zaanib paidal aate hain 
----------------------------------------
कितनी रातें काट चुका हूँ पर वो वस्ल का दिन
इस दरिया से पहले कितने जंगल आते हैं

हमें तो नींद भी आती है तो आधी आती है
वो कैसे हैं जिनको ख़्वाब मुकम्मल आते हैं

इस रस्ते पर पेड़ भी आते हैं उसने पूछा
जल कर ख़ुशबू देने वाले संदल आते हैं

कौन है जो इस दिल में ख़ामोशी से उतरेगा
देखो इस आवाज़ पे कितने पागल आते हैं

इक से भड़ कर एक सवारी अस्प-औ-फील भी है
जाने क्यों हम तेरी ज़ानिब पैदल आते हैं

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 30