Umair Najmi Poetry

Ghair Hazir


Ghair Hazir
 Ghair Hazir

Haazri lagnay wali hai
Khamosh hon or tawajja karain
'Aik?'
'Ji Sir!'
Udhar daayen deewar ki khirkion se paray ped hain
Kuch haray ped hain
Jin k pattay lagatar jhartay chalay ja rahay hain
Parinday bhi hain pedo par
Un k par..
'Paanch?'
'Hazir janab!'
Un k par..
Surmai rang se milta julta koi rang hai
'Saat?'
'Ji!'
Ghonsla aik hai..
Yani saray parinday idhar k nahin, kuch chalay jayenge
Or ye teesray ped par kya likha hai?
naya hai
nikal kar padhunga main
'Dus?'
'Ji main hoon'
Bilkul aisay kisi ne kaha tha mujhay dus baras qabl
Tairah May, do hazaar aath, Mangal tha or sham char ya sawa char
Meray ghar ki chat
Main ne deewar ki is taraf se kaha tha, 'koi hai?'
Tabhi bilkul aisay kisi ne kaha tha k 'Ji haan, main hoon'
'Pandrah?'
'Yes Sir! Present'
Ji haan.. Present..
Haa Ab wo awaz janay kahan ja chuki
Dus baras ho gaye, puchtay puchtay, 'Koi hai? Koi hai?'
Or agay se bas khamoshi
'Ji main hoon' wali awaz to ja chuki hai
'Athara?'
Kahan hogi ab?
'Roll number Athara?'
Aray ye to main..
'Sorry Sir!'
'Tum kahan khoye rehtay ho? Pagal ho kya?'
'Sir wo awaz to ja chuki'
'Kya kaha?'
'Ja chuki'
'Chup'
'Nahin Sir, sunain
Jab se wo ja chuki
Main jahan bhi hoon, ho kar bhi hota nahin
Jaisay ab bhi yahan to nahin hoon, bazahir hoon Sir
Aap samjhay?'
'nahin'
'Or kuch bhi btanay se qasir hoon Sir
Aap likh dijye
Ghair hazir hoon Sir!

Poet - Umair Najmi
Location: Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan
Views: 204