Tehzeeb Hafi Poetry

Zehan par zoor dene se bhi yaad ata nahi k kia dekhtey thy


Zehan par zoor dene se bhi yaad ata nahi k kia dekhtey thy
ज़ेहन पर ज़ोर देने से भी याद नहीं आता कि हम क्या देखते थे
सिर्फ़ इतना पता है कि हम आम लोगों से बिल्कुल जुदा देखते थे

तब हमें अपने पुरखों से विरसे में आई हुई बद्दुआ याद आई
जब कभी अपनी आँखों के आगे तुझे शहर जाता हुआ देखते थे

सच बताएँ तो तेरी मोहब्बत ने ख़ुद पर तवज्जो दिलाई हमारी
तू हमें चूमता था तो घर जा के हम देर तक आईना देखते थे

सारा दिन रेत के घर बनाते हुए और गिरते हुए बीत जाता
शाम होते ही हम दूरबीनों में अपनी छतों से ख़ुदा देखते थे

उस लड़ाई में दोनों तरफ़ कुछ सिपाही थे जो नींद में बोलते थे
जंग टलती नहीं थी सिरों से मगर ख़्वाब में फ़ाख्ता देखते थे

दोस्त किसको पता है कि वक़्त उसकी आँखों से फिर किस तरह पेश आया
हम इकट्ठे थे हँसते​ थे रोते थे इक दूसरे को बड़ा दखते थे

----------------------------------------

Zehan par zoor dene se bhi yaad ata nahi k kia dekhtey thy
Sirf itna pata hai k hum aam logoon se bilkul juda dekhtey thy

Tab hamein apne purkhoon se virsey mein ayi hui baddua yaad ati
Jab kabhi apni aankhoon k agey tujhe seher jatey huey dekhtey thy

Sach batain t uteri muhabbat ne khud par tuwaju dilai hamari
Tu hamein choomta that tu ghar ja kr dair tk aaina dekhtey thy

Sara din rait k ghar banatey huey aor giratey huey beet jata
Sham hotey hi hum doorbinoon mein apni chatoon se khuda dekhtey thy

Dost kis ko pata hai k waqt us ki ankhoon se phir kis tarha paish aya
Hum ikhatey thy, hanstey thy, rotey thy, ik dosrey ko bara dekhtey thy

Us larai mein donoon taraf kuch sipahi thy jo neend mein boltey thy
jung talti nahi thi magar khuwab mein fakhta dekhtey thy

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 32