Allama Iqbal Poetry

Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain


Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain
अनोखी वज़्अ है सारे ज़माने से निराले हैं
ये आशिक़ कौन सी बस्ती के या-रब रहने वाले हैं

इलाज-ए-दर्द में भी दर्द की लज़्ज़त पे मरता हूँ
जो थे छालों में काँटे नोक-ए-सोज़न से निकाले हैं

फला-फूला रहे या-रब चमन मेरी उमीदों का
जिगर का ख़ून दे दे कर ये बूटे मैं ने पाले हैं

रुलाती है मुझे रातों को ख़ामोशी सितारों की
निराला इश्क़ है मेरा निराले मेरे नाले हैं

न पूछो मुझ से लज़्ज़त ख़ानमाँ-बर्बाद रहने की
नशेमन सैकड़ों मैं ने बना कर फूँक डाले हैं

नहीं बेगानगी अच्छी रफ़ीक़-ए-राह-ए-मंज़िल से
ठहर जा ऐ शरर हम भी तो आख़िर मिटने वाले हैं

उमीद-ए-हूर ने सब कुछ सिखा रक्खा है वाइ'ज़ को
ये हज़रत देखने में सीधे-साधे भोले भाले हैं

मिरे अशआ'र ऐ 'इक़बाल' क्यूँ प्यारे न हों मुझ को
मिरे टूटे हुए दिल के ये दर्द-अंगेज़ नाले हैं 


-----------------------------------------------

Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain,
Ye Aashiq Kon Si Basti K Ya Rab Rehne Wale Hain,

Ilaj-E-Dard Mein Bhi Dard Ki Lazat Pe Marta Hon,
Jo Thay Chhaalon Mein Kante Nok-E-Sozan Se Nikale Hain,

Phalaa Phoola Rahe Ya Rab Chaman Meri Umeedon Ka,
Jigar Ka Khoon De De Kar Ye Boote Hum Ne Paale Hain,

Rulati Hai Mujhe Raton Ko Khamoshi Sataron Ki,
Niraala Ishq Hai Mera Niraale Mere Naale Hain,,

Na Poocho Mujh Se Lazzat Khaanamaan Barbad Rehne Ki,
Nasheman Sainkaron Main Ne Bana Kar Phonk Daale Hain,,

Nahin Begaangi Achchi Rafiq-e-raah-e-manzil Se
Thahar Ja Aye Sharar Ham Bhi To Akhir Mitne Waale Hain

Umeed-E-Hoor Ne Sab Kuch Seekha Rakha Hai Waaiz Ko,
Ye Hazrat Dekhne Mein Seedhe Saadhe, Bhole Bhaale Hain,

Mere Ashaar Aye Iqbal Kion Pyare Na Hon Mujh Ko,
Mere Toote Howe DiL K Dard Angaiz Naale Hain.!

Poet - Allama Iqbal
Location: Sialkot, Punjab, British India (now in Pakistan)
Views: 82