Ahmed Faraz Poetry

barson ke baad dekha ik shakhs dilruba sa


barson ke baad dekha ik shakhs dilruba sa

barson ke baad dekha ik shakhs dilruba sa
ab zehan mein nahin hai par naam tha bhala sa

abroo khinche khinche se aankhen jhuki jhuki si
baatein ruki ruki si lahja thaka thaka sa

alfaaz the ki jugnoo awaaz ke safar mein
ban jaaye junglon mein jis tarah raasta sa

khwaabon mein khwaab uske yaadon mein yaad uski
neendon mein khul gaya ho jaise ki ratjaga sa

pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein
woh har tarah se lekin auron se tha juda sa

kuchh ye ki muddaton se ham bhi nahin the roye
kuchh zahar mein khula tha ahbaab ka dilaasa

phir yun hua ki saawan aankhon mein aa base the
phir yun hua ki jaise dil bhi tha aablaa sa

ab sach kahein to yaaron hamko khabar nahin thi
ban jaayega qayamat ik waqia zara sa

tevar the be-rukhi ke andaaz dosti ke
woh ajnabi tha lekin lagta tha aashnaa sa

ham dasht the ki dariya ham zahar the ki amrit
na-haq tha zoom hamko jab vo nahin tha pyaasa

hamne bhi usko dekha kal shaam ittefaqan
apna bhi haal hai ab logon faraaz ka sa
-------------------------------------
बरसों के बाद देखा इक शख़्स दिलरुबा सा
अब ज़ेहन में नहीं है पर नाम था भला सा

अबरू खिंचे खिंचे से आँखें झुकी झुकी सी
बातें रुकी रुकी सी लहजा थका थका सा

अल्फ़ाज़ थे कि जुगनू आवाज़ के सफ़र में
बन जाए जंगलों में जिस तरह रास्ता सा

ख़्वाबों में ख़्वाब उसके यादों में याद उसकी
नींदों में खुल गया हो जैसे कि रतजगा सा

पहले भी लोग आए कितने ही ज़िंदगी में
वह हर तरह से लेकिन औरों से था जुदा सा

कुछ ये कि मुद्दतों से हम भी नहीं थे रोए
कुछ ज़हर में खुला था अहबाब का दिलासा

फिर यूँ हुआ कि सावन आँखों में आ बसे थे
फिर यूँ हुआ कि जैसे दिल भी था आबला सा

अब सच कहें तो यारों हमको ख़बर नहीं थी
बन जाएगा क़यामत इक वाक़िआ ज़रा सा

तेवर थे बे-रुख़ी के अंदाज़ दोस्ती के
वह अजनबी था लेकिन लगता था आशना सा

हम दश्त थे कि दरिया हम ज़हर थे कि अमृत
ना-हक़ था ज़ोम हमको जब वो नहीं था प्यासा

हमने भी उसको देखा कल शाम इत्तेफ़ाक़न
अपना भी हाल है अब लोगों फ़राज़ का सा

Poet - Ahmed Faraz
Location: Kohat, British India (now in Pakistan)
Views: 218