Ahmed Faraz Poetry

Saaqiya ek nazar jaam se pehle pehle


Saaqiya ek nazar jaam se pehle pehle

saaqiya ek nazar jaam se pehle pehle
ham ko jaana hai kahi shaam se pehle pehle

nau-giraftaar-e-wafa saee-e-rihaaee hai abas
ham bhi uljhe the bahut daam se pehle pehle

khush ho ai dil ki mohabbat to nibha di tu ne
log ujad jaate hain anjaam se pehle pehle

ab tire zikr pe ham baat badal dete hain
kitni raghbat thi tire naam se pehle pehle

saamne umr padi hai shab-e-tanhaai ki
vo mujhe chhod gaya shaam se pehle pehle

kitna achha tha ki ham bhi jiya karte the faraaz
ghair-maaruf se gumnaam se pehle pehle
---------------------------------------
साक़िया एक नज़र जाम से पहले पहले
हम को जाना है कहीं शाम से पहले पहले

नौ-गिरफ़्तार-ए-वफ़ा सई-ए-रिहाई है अबस
हम भी उलझे थे बहुत दाम से पहले पहले

ख़ुश हो ऐ दिल कि मोहब्बत तो निभा दी तू ने
लोग उजड़ जाते हैं अंजाम से पहले पहले

अब तिरे ज़िक्र पे हम बात बदल देते हैं
कितनी रग़बत थी तिरे नाम से पहले पहले

सामने उम्र पड़ी है शब-ए-तन्हाई की
वो मुझे छोड़ गया शाम से पहले पहले

कितना अच्छा था कि हम भी जिया करते थे 'फ़राज़'
ग़ैर-मारूफ़ से गुमनाम से पहले पहले

Poet - Ahmed Faraz
Location: Kohat, British India (now in Pakistan)
Views: 127