Ahmed Faraz Poetry

kis taraf ko chalti hai ab hawa nahin maaloom


kis taraf ko chalti hai ab hawa nahin maaloom

kis taraf ko chalti hai ab hawa nahin maaloom
haath utha liye sabne aur dua nahin maaloom

mausamon ke chehron se zardiyaan nahin jaati
phool kyun nahin lagte khush-numa nahin maaloom

rahbaro'n ke tevar bhi rahzano se lagte hain
kab kahaan pe loot jaaye qaafila nahin maaloom

sarv to gai rut mein qaamaten ganwa baithe
qumariyaan hui kaise be-sada nahin maaloom

aaj sabko daava hai apni apni chaahat ka
kaun kis se hota hai kal juda nahin maaloom

manzaron kii tabdeeli bas nazar mein rahti hai
ham bhi hote jaate hain kya se kya nahin maaloom

ham faraaz sheron se dil ke zakhm bharte hain
kya karein maseeha ko jab dava nahin maaloom
----------------------------------------------
किस तरफ़ को चलती है अब हवा नहीं मालूम
हाथ उठा लिए सबने और दुआ नहीं मालूम

मौसमों के चेहरों से ज़र्दियाँ नहीं जाती
फूल क्यूँ नहीं लगते ख़ुश-नुमा नहीं मालूम

रहबरों के तेवर भी रहज़नों से लगते हैं
कब कहाँ पे लुट जाए क़ाफ़िला नहीं मालूम

सर्व तो गई रुत में क़ामतें गँवा बैठे
क़ुमरियाँ हुईं कैसे बे-सदा नहीं मालूम

आज सबको दावा है अपनी अपनी चाहत का
कौन किस से होता है कल जुदा नहीं मालूम

मंज़रों की तब्दीली बस नज़र में रहती है
हम भी होते जाते हैं क्या से क्या नहीं मालूम

हम 'फ़राज़' शेरों से दिल के ज़ख़्म भरते हैं
क्या करें मसीहा को जब दवा नहीं मालूम

Poet - Ahmed Faraz
Location: Kohat, British India (now in Pakistan)
Views: 139