Parveen Shakir Poetry

aankhon ke liye jashn ka paighaam to aaya


aankhon ke liye jashn ka paighaam to aaya

aankhon ke liye jashn ka paighaam to aaya
taakheer se hi chaand lab-e-baam to aaya

us baagh mein ik phool khila mere liye bhi
khushboo kii kahaani mein mera naam to aaya

patjhad ka zamaana tha to ye bakht hamaara
sair-e-chaman-e-dil ko vo gulfaam to aaya

ud jaayega phir apni hawaon mein to kya gham
vo taa'ir-e-khush-rang tah-e-daam to aaya

har chand ki kam arsa-e-zebai mein thehra
har chehra-e-gul baagh ke kuchh kaam to aaya

shab se bhi guzar jaayenge gar teri raza ho
duraan-e-safar marhala-e-shaam to aaya 
---------------------------------------
आँखों के लिए जश्न का पैग़ाम तो आया
ताख़ीर से ही चाँद लब-ए-बाम तो आया

उस बाग़ में इक फूल खिला मेरे लिए भी
ख़ुशबू की कहानी में मेरा नाम तो आया

पतझड़ का ज़माना था तो ये बख़्त हमारा
सैर-ए-चमन-ए-दिल को वो गुलफ़ाम तो आया

उड़ जाएगा फिर अपनी हवाओं में तो क्या ग़म
वो ताइर-ए-ख़ुश-रंग तह-ए-दाम तो आया

हर चंद कि कम अरसा-ए-ज़ेबाई में ठहरा
हर चेहरा-ए-गुल बाग़ के कुछ काम तो आया

शब से भी गुज़र जाएँगे गर तेरी रज़ा हो
दौरान-ए-सफ़र मरहला-ए-शाम तो आया

Poet - Parveen Shakir
Location: Karachi, Pakistan
Views: 48