Javed Akhtar Poetry

Jidhar jaate hain sab jaana udhar accha nahi lagta


Jidhar jaate hain sab jaana udhar accha nahi lagta

Jidhar jaate hain sab jaana udhar accha nahi lagta
Mujhe paamaal raaston ka safar accha nahi lagta

Ghalat baaton ko khaamoshi se sunna, haami bhar lena
Bahut hain faaide is mein magar accha nahi lagta

Mujhe dushman se bhi khuddari ki umeed rehti hai
Kisi ka bhi ho sar, qadmon mein sar accha nahi lagta

Bulandi par unhein mitti ki khushboo tak nahi aati
Yeh wo shaakhen hain jin ko ab shajar accha nahi lagta

Yeh kyun baaqi rahe aatish-zano, yeh bhi jala daalo
Ke sab be-ghar hon aur mera ho ghar accha nahi lagta
---------------------------------------------------------------------------
जिधर जाते हैं सब जाना उधर अच्छा नहीं लगता
मुझे पामाल रस्तों का सफ़र अच्छा नहीं लगता

ग़लत बातों को ख़ामोशी से सुनना हामी भर लेना
बहुत हैं फ़ाएदे इस में मगर अच्छा नहीं लगता

मुझे दुश्मन से भी ख़ुद्दारी की उम्मीद रहती है
किसी का भी हो सर क़दमों में सर अच्छा नहीं लगता

बुलंदी पर उन्हें मिट्टी की ख़ुश्बू तक नहीं आती
ये वो शाख़ें हैं जिन को अब शजर अच्छा नहीं लगता

ये क्यूँ बाक़ी रहे आतिश-ज़नो ये भी जला डालो
कि सब बे-घर हों और मेरा हो घर अच्छा नहीं लगता

Poet - Javed Akhtar
Location: Gwalior, Madhya Pradesh, India
Views: 211