Bashir Badr Poetry

Mohabbatón mein dikhave ki dosti na mila


Mohabbatón mein dikhave ki dosti na mila

Mohabbatón mein dikhave ki dosti na mila
Agar gale nahi milta toh haath bhi na mila

Gharon pe naam the, naamon ke saath ohde the
Bahut talaash kiya koi aadmi na mila

Tamam rishton ko main ghar pe chhod aaya tha
Phir us ke baad mujhe koi ajnabi na mila

Khuda ki itni badi kaayenaat mein main ne
Bas ek shakhs ko manga mujhe wahi na mila

Bahut ajeeb hai ye qurbaton ki doori bhi
Wo mere saath raha aur mujhe kabhi na mila
----------------------------------------------------------------
मोहब्बतों में दिखावे की दोस्ती न मिला
अगर गले नहीं मिलता तो हाथ भी न मिला

घरों पे नाम थे नामों के साथ ओहदे थे
बहुत तलाश किया कोई आदमी न मिला

तमाम रिश्तों को मैं घर पे छोड़ आया था
फिर उस के बा'द मुझे कोई अजनबी न मिला

ख़ुदा की इतनी बड़ी काएनात में मैं ने
बस एक शख़्स को माँगा मुझे वही न मिला

बहुत अजीब है ये क़ुर्बतों की दूरी भी
वो मेरे साथ रहा और मुझे कभी न मिला


Poet - Bashir Badr
Location: Faizabad, Uttar Pradesh, India
Views: 363