Ahmed Faraz Poetry

Phir usi rahguzar par shaayad


Phir usi rahguzar par shaayad

phir usi rahguzar par shaayad
ham kabhi mil saken magar shaayad

jin ke ham muntazir rahe un ko
mil gaye aur hum-safar shaayad

jaan-pahchaan se bhi kya hoga
phir bhi ai dost ghaur kar shaayad

ajnabbiyyat ki dhund chhat jaaye
chamak utthe tiri nazar shaayad

zindagi bhar lahu rulaayegi
yaad-e-yaaraan-e-be-khabar shaayad

jo bhi bichhde vo kab mile hain faraaz
phir bhi tu intizaar kar shaayad
----------------------------
फिर उसी रहगुज़ार पर शायद
हम कभी मिल सकें मगर शायद

जिन के हम मुंतज़िर रहे उन को
मिल गए और हम-सफ़र शायद

जान-पहचान से भी क्या होगा
फिर भी ऐ दोस्त ग़ौर कर शायद

अज्नबिय्यत की धुँद छट जाए
चमक उठ्ठे तिरी नज़र शायद

ज़िंदगी भर लहू रुलाएगी
याद-ए-यारान-ए-बे-ख़बर शायद

जो भी बिछड़े वो कब मिले हैं 'फ़राज़'
फिर भी तू इंतिज़ार कर शायद

Poet - Ahmed Faraz
Location: Kohat, British India (now in Pakistan)
Views: 213