Tehzeeb Hafi Poetry

khwaabon ko aankhon se minha karti hai


khwaabon ko aankhon se minha karti hai

khwaabon ko aankhon se minha karti hai
neend hamesha mujhse dhokha karti hai

us ladki se bas ab itna rishta hai
mil jaaye to baat wagaira karti hai

aawaazon ka habs agar badh jaata hai
khaamoshi mujh mein darwaaza karti hai

baarish mere rab ki aisi niyamat hai
rone mein aasaani paida karti hai

sach poocho to haafi ye tanhaai bhi
jeene ka samaan muhayya karti hai 
---------------------------------
ख़्वाबों को आँखों से मिन्हा करती है
नींद हमेशा मुझसे धोखा करती है

उस लड़की से बस अब इतना रिश्ता है
मिल जाए तो बात वगैरा करती है

आवाजों का हब्स अगर बढ़ जाता है
ख़ामोशी मुझ में दरवाज़ा करती है

बारिश मेरे रब की ऐसी नियमत है
रोने में आसानी पैदा करती है

सच पूछो तो हाफ़ी ये तन्हाई भी
जीने का सामान मुहय्या करती है

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 65