1. main kamre mein pichhle ikattees dinon se..

main kamre mein pichhle ikattees dinon se
faqat is haqeeqat ka nuksaan
ginne ki koshish mein uljha hua hoon
ki tu ja chuki hai
tujhe raaygaani ka ratti barabar andaaza nahin hai
tujhe yaad hai vo zamaana
jo campus ki pagdandiyon pe tahalte hue kat gaya tha
tujhe yaad hai ki jab qadam chal rahe the
ki ek pair tera tha aur ek mera
qadam vo jo dharti pe aawaaz dete
ki jaise ho raaga koi mutriboon ka
qadam jaise ke
sa pa ga ma pa ga sa re
vo table ki tirakhat pe
tak dhin dhinka dhin tink dhin dhana dhin bahm chal rahe the qadam chal rahe the
qadam jo musalsal agar chal rahe the
to kitne gavaiyon ke ghar chal rahe the
magar jis ghadi
tu ne us raah ko mere tanha qadam ke hawaale kiya
un suron ki kahaani wahin ruk gai
kitni fankaariyaan kitni baarikiyaan
kitni kaliyaan bilaaval
gavaiyon ke honthon pe aane se pehle fana ho gaye
kitne nusrat fateh kitne mehndi hasan muntazir rah gaye
ki hamaare qadam phir se uthne lagen
tujhko maaloom hai
jis ghadi meri awaaz sun ke
tu ik zaaviye pe palat ke mudi thi wahaan se
relativity ka janaaza utha tha
ki us zaaviye ki kashish mein hi yoonan ke falsafe
sab zamaanon ki tarteeb barbaad kar ke tujhe dekhne aa gaye the
ki tere jhukaav ki tamsil pe
apni seedhi lakeeron ko kham de saken
apni akdi hui gardanon ko liye apne vaqton mein palten
geometry ko janam de saken
ab bhi kuchh falsafi
apne feke zamaanon se bhaage hue hain
mere raaston pe aankhen bichhaaye hue
apni daanisht mein yun khade hain ki jaise
vo daanish ka mamba yahin pe kahi hai
magar mud ke takne ko tu hi nahin hai
to kaise florence ki tang galiyon se koi davinci uthe
kaise hispania mein picasso bane
unki aankhon ko tu jo mayassar nahin hai
ye sab
tere mere ikatthe na hone ki qeemat ada kar rahe hain
ki tere na hone se har ik zama mein
har ek fan mein har ek dastaan mein
koi ek chehra bhi taza nahin hai
tujhe raaygaani ka ratti barabar andaaza nahin hai 
----------------------------------------------
मैं कमरे में पिछले इकत्तीस दिनों से
फ़क़त इस हक़ीक़त का नुकसान
गिनने की कोशिश में उलझा हुआ हूँ
कि तू जा चुकी है
तुझे रायगानी का रत्ती बराबर अंदाज़ा नहीं है
तुझे याद है वो ज़माना
जो कैम्पस की पगडंडियों पे टहलते हुए कट गया था
तुझे याद है कि जब क़दम चल रहे थे
कि एक पैर तेरा था और एक मेरा
क़दम वो जो धरती पे आवाज़ देते
कि जैसे हो रागा कोई मुतरीबों का
क़दम जैसे के
सा पा गा मा पा गा सा रे
वो तबले की तिरखट पे
तक धिन धिनक धिन तिनक धिन धना धिन बहम चल रहे थे, क़दम चल रहे थे
क़दम जो मुसलसल अगर चल रहे थे
तो कितने गवइयों के घर चल रहे थे
मगर जिस घड़ी
तू ने उस राह को मेरे तनहा क़दम के हवाले किया
उन सुरों की कहानी वहीं रुक गई
कितनी फनकारियाँ कितनी बारीकियाँ
कितनी कलियाँ बिलावल
गवईयों के होंठों पे आने से पहले फ़ना हो गये
कितने नुसरत फ़तह कितने मेहँदी हसन मुन्तज़िर रह गये
कि हमारे क़दम फिर से उठने लगें
तुझको मालूम है
जिस घड़ी मेरी आवाज़ सुन के
तू इक ज़ाविये पे पलट के मुड़ी थी वहां से,
रिलेटिविटी का जनाज़ा उठा था
कि उस ज़ाविये की कशिश में ही यूनान के फ़लसफ़े
सब ज़मानों की तरतीब बर्बाद कर के तुझे देखने आ गये थे
कि तेरे झुकाव की तमसील पे
अपनी सीधी लकीरों को ख़म दे सकें
अपनी अकड़ी हुई गर्दनों को लिये अपने वक़्तों में पलटें,
जियोमैट्री को जन्म दे सकें
अब भी कुछ फलसफ़ी
अपने फीके ज़मानों से भागे हुए हैं
मेरे रास्तों पे आँखें बिछाए हुए
अपनी दानिस्त में यूँ खड़े हैं कि जैसे
वो दानिश का मम्बा यहीं पे कहीं है
मगर मुड़ के तकने को तू ही नहीं है
तो कैसे फ्लोरेन्स की तंग गलियों से कोई डिवेन्ची उठे
कैसे हस्पानिया में पिकासु बने
उनकी आँखों को तू जो मयस्सर नहीं है
ये सब
तेरे मेरे इकट्ठे ना होने की क़ीमत अदा कर रहे हैं
कि तेरे ना होने से हर इक ज़मा में
हर एक फ़न में हर एक दास्ताँ में
कोई एक चेहरा भी ताज़ा नहीं है
तुझे रायगानी का रत्ती बराबर अंदाज़ा नहीं है
Read more

2. jo baat ginti ke kuchh dinon se shuroo thi..

jo baat ginti ke kuchh dinon se shuroo thi
vo saal-ha-saal tak chali hai
kai zamaanon mein bant gai hai
main in zamaanon mein lamha lamha tumhaari nazaron ke bin raha hoon
main ab talak bhi tumhaare jaane ka baaki nuksaan gin raha hoon
mujhe zamaana ye kah raha tha ki raaygaani mubaalga hai
bhala tumhaari judaai ka dukh zamaan makaan ko hila raha hai
bhala relativity ki science kisi ke murne se munselik hai
inhen batao tumhaare jaane ka dukh utha kar
faqat akela vo main nahin tha jo zarra zarra bikhar gaya tha
tumhaare jaane ke kuchh dinon mein hamaara hawking bhi mar gaya tha
aur uski theory ke kaale gadde
jinhen hamesha tumhaari aankhon mein dekhna tha
vo mere chehre pe pad gaye hain vo meri aankhon mein gad gaye hain
tumhaare jaane ke baad sab kuchh hi ek assee ke zaaviye par palat gaya hai
ki mera hona tumhaare hone se munselik tha
tumhaari aankhon ki raushni thi to main bhi duniya mein ho raha tha
tumhaare lehje ke sur mile the to main bana tha
tumhaare haathon ka lams haathon ko mil raha tha to dekhta tha
hamaare haathon mein atomon ki dafa ki kuwwat kashish mein kaise badal rahi hai
par ab tumhaari nazar kahi hai tumhaara lahja bhi ab nahin hai
to tum batao main kis tariqe se apni hasti ko naisti se juda karunga
main dang aankhon se saari duniya ko dekhta hoon
aur apne hone ki koi illat talaashta hoon
ajeeb tarah ka be-nishaan be-makaam dukh hai
samajhne waale samajh gaye the ye raaygaani hai
raaygaani tamaam sadiyon ka khaam dukh hai
main ab haqeeqat samajh raha hoon
tamaam dukh tha tamaam dukh hai
tumhein bataaun kisi ke hone ka koi maqsad
koi maani kahi nahin hai
agar to nietzsche nahin mara hai
to us se poocha kya karenge zameen pe rah ke
pale badhenge baka ki khaatir lade marengay
phir apne jaise kai janenge aur is jahaan se nikal padenge
jinhe janenge vo sab ke sab bhi yahi karenge
pale badhenge lade marengay
phir un ke bacche aur un ke bacche
ye kya tamasha-e-ha-o-hoo hai
ye zindagi hai to aakh thoo hai 
-------------------------------------
जो बात गिनती के कुछ दिनों से शुरू थी
वो साल-हा-साल तक चली है
कई ज़मानों में बँट गई है
मैं इन ज़मानों में लम्हा लम्हा तुम्हारी नज़रों के बिन रहा हूँ
मैं अब तलक भी तुम्हारे जाने का बाक़ी नुक़सान गिन रहा हूँ
मुझे ज़माना ये कह रहा था कि रायगानी मुबालगा है
भला तुम्हारी जुदाई का दुख ज़माँ मकाँ को हिला रहा है
भला रिलेटिविटी की साइंस किसी के मुड़ने से मुंसलिक है
इन्हें बताओ तुम्हारे जाने का दुख उठा कर
फ़क़त अकेला वो मैं नहीं था जो ज़र्रा ज़र्रा बिखर गया था
तुम्हारे जाने के कुछ दिनों में हमारा हॉकिंग भी मर गया था
और उसकी थ्योरी के काले गड्ढे
जिन्हें हमेशा तुम्हारी आँखों में देखना था
वो मेरे चेहरे पे पड़ गए हैं, वो मेरी आँखों में गड़ गए हैं
तुम्हारे जाने के बाद सब कुछ ही एक अस्सी के ज़ाविए पर पलट गया है
कि मेरा होना तुम्हारे होने से मुंसलिक था
तुम्हारी आँखों की रौशनी थी तो मैं भी दुनिया में हो रहा था
तुम्हारे लहजे के सुर मिले थे तो मैं बना था
तुम्हारे हाथों का लम्स हाथों को मिल रहा था तो देखता था
हमारे हाथों में एटमों की दफ़ा की कुव्वत कशिश में कैसे बदल रही है
पर अब तुम्हारी नज़र कहीं है तुम्हारा लहजा भी अब नहीं है
तो तुम बताओ मैं किस तरीक़े से अपनी हस्ती को नैस्ती से जुदा करूँगा
मैं दंग आँखों से सारी दुनिया को देखता हूँ
और अपने होने की कोई इल्लत तलाशता हूँ
अजीब तरह का बे-निशान बे-मक़ाम दुख है
समझने वाले समझ गए थे ये रायगानी है
रायगानी तमाम सदियों का ख़ाम दुख है
मैं अब हक़ीक़त समझ रहा हूँ
तमाम दुख था तमाम दुख है
तुम्हें बताऊँ किसी के होने का कोई मक़सद
कोई मआनी कहीं नहीं है
अगर तो नीत्शे नहीं मरा है
तो उस से पूछा क्या करेंगे ज़मीं पे रह के
पले बढ़ेंगे बका की ख़ातिर लड़े मरेंगे
फिर अपने जैसे कई जनेंगे और इस जहाँ से निकल पड़ेंगे
जिन्हे जनेंगे वो सब के सब भी यही करेंगे
पले बढ़ेंगे लड़े मरेंगे
फिर उन के बच्चे और उन के बच्चे
ये क्या तमाशा-ए-हा-ओ-हू है
ये ज़िंदगी है तो आख थू है
Read more

3. izteraab jahaan main izteraab hai..

izteraab
jahaan main izteraab hai
nahin nahin
jahaan hi izteraab hai
hazaar haan kawaakabo najoom haay kahkashaan se
atammon ki kokh tak
madaar dar madaar har vujood be qaraar hai
ye mehro maaho mushtari se har electron tak
ye jhoom jhoom ghoomne main jis tarah ka raqs hai
mujhe samajh main aa gaya
jahaan tera aks hai
vo aks jo jagah jagah qadam qadam ridham pe hai
jahaan ain sur main hai jahaan ain saim pe hai
jahaan tarannumon ki list main se intikhaab hai
jo tujh haseen dimaagh ke haseen la shaour main bana ho
aisa khwaab hai
jahaan izteraab hai
mujhe samajh main aa gaya hai ye jahaan
khaala makaan zamaan ke chand taar se bana hua sitaar hai
usse kaho kisi tarah sitaar chhedti rahe
usse kaho ke thodi dier aur bolti rahe 
-----------------------------------------
इज़्तेराब
जहां मैं इज़्तेराब है?
नहीं नहीं
जहां ही इज़्तेराब है
हज़ार हां कवाकबो नजूम हाय कहकशां से
अतंमों की कोख तक
मदार दर मदार हर वजूद बे क़रार है
ये मेहरो माहो मुश्तरी से हर इलेक्ट्रान तक
ये झूम झूम घूमने मैं जिस तरह का रक़्स है
मुझे समझ मैं आ गया
जहां तेरा अक्स है
वो अक्स जो जगह जगह क़दम क़दम रिधम पे है
जहांन ऐन सुर मैं है जहांन ऐन सैम पे है
जहांन तरन्नुमों की लिस्ट मैं से इंतिखाब है
जो 'तुझ हसीं दिमाग़ के हसीं ला शऊर मैं बना हो
ऐसा ख्वाब है
जहांन इज़्तेराब है
मुझे समझ मैं आ गया है ये जहांन
खाला, मकान, ज़मान के चंद तार से बना हुआ सितार है
उससे कहो किसी तरह सितार छेड़ती रहे
उससे कहो के थोड़ी दिएर और बोलती रहे

Read more

4. vaham raat jaagi to kahi sehen main sukhe patte..

vaham
raat jaagi to kahi sehen main sukhe patte
churmuraaye ke koi aaya koi aaya hai
aur ham shauq ke maare hue daude aaye
go ke maaloom hai tu hai na tera saaya hai

ham ke dekhen kabhi daalaan kabhi sookha chaman
us pe dheemi si tamannaa ke pukaare jaayein
phir se ik baar teri khwaab si aankhen dekhen
phir tere hijr ke haathon hi bhale maare jaayein

ham tujhe apni sadaaon main basaane waale
itna cheekhen ke tere vaham lippat ke roein
par tere vaham bhi teri hi tarah qaatil hain
so wahi dard hai jaana kaho kaise soein

bas isee karb ke pehlu main guzaare hain peher
bas yoonhi gham kabhi kaafi kabhi thode aaye
phir achaanak kisi lamhe main jo chatkhe patte
ham wahi shauq ke maare hue daude aaye 
--------------------------------------
वहम
रात जागी तो कहीं सेहेन मैं सूखे पत्ते
चुरमुराए के कोई आया कोई आया है
और हम शौक़ के मारे हुए दौड़े आए
गो के मालूम है तू है न तेरा साया है

हम के देखें कभी दालान कभी सूखा चमन
उस पे धीमी सी तमन्ना के पुकारे जाएं
फिर से इक बार तेरी ख्वाब सी आंखें देखें
फिर तेरे हिज्र के हाथों ही भले मारे जाएं

हम तुझे अपनी सदाओं मैं बसाने वाले
इतना चीखें के तेरे वहम लिप्पत के रोएं
पर तेरे वहम भी तेरी ही तरह क़ातिल हैं
सो वही दर्द है जाना कहो कैसे सोएं

बस इसी करब के पहलु मैं गुज़ारे हैं पेहेर
बस यूँही ग़म कभी काफी कभी थोड़े आए
फिर अचानक किसी लम्हे मैं जो चटख़े पत्ते
हम वही शौक़ के मारे हुए दौड़े आए

Read more

5. sanwali kitne alfaaz hain..

sanwali
kitne alfaaz hain
jo meri ungliyon ke har ik por mein
ik samundar ki maanind band hain
samundar bahut hi gussaila samundar
samundar vo jo muntazir hai
ki kab tere honton ke dono sire
muskuraahat ki koshish mein khichne lagen
aur rukhsaar mein pech-o-kham daal den
ek sha'ir jo aankhen masalne lage
to hanse
aur samundar
ubalne lage 
------------------------------
"साँवली"
कितने अल्फ़ाज़ हैं
जो मिरी उँगलियों के हर इक पोर में
इक समुंदर की मानिंद बंद हैं
समुंदर बहुत ही ग़ुस्सैला समुंदर
समुंदर वो जो मुंतज़िर है
कि कब तेरे होंटों के दोनों सिरे
मुस्कुराहट की कोशिश में खिचने लगें
और रुख़्सार में पेच-ओ-ख़म डाल दें
एक शाइ'र जो आँखें मसलने लगे
तो हँसे
और समुंदर
उबलने लगे
Read more

6. kitne alfaz hain..

kitne alfaz hain
jo miri ungliyon ke har ik por men

ik samundar ki manind band hain
samundar bahut hi ghussaila samundar

samundar vo jo muntazir hai
ki kab tere honton ke donon sire

muskurahat ki koshish men khichne lagen
aur ruḳhsar men pech-o-ḳham daal den

ek shair jo ankhen masalne lage
to hanse

aur samundar
ubalne lage
---------------------------
कितने अल्फाज़ हैं
जो मेरी उंगलियों के हर एक पोर में

एक समंदर की मानिंद बंद हैं
समंदर बहुत ही घुस्सैल समंदर

समंदर वो जो मुन्तज़िर है
कि कब तेरे होंठों के दोनों सिरे

मुस्कुराहट की कोशिश में खिंचने लगे
और रुख़सार में पेचो-ख़ाम डाल दें

एक शायर जो आँखें मलने लगे
तो हंसे

और समंदर
उबालने लगे
Read more