अभी कुछ दिन लगेंगे
दिल ऐसे शहर के पामाल हो जाने का मंज़र भूलने में
अभी कुछ दिन लगेंगे
जहान-ए-रंग के सारे ख़स-ओ-ख़ाशाक सब सर्व-ओ-सनोबर भूलने में अभी कुछ दिन लगेंगे
थके हारे हुए ख़्वाबों के साहिल पर कहीं उम्मीद का छोटा सा इक घर
बनते बनते रह गया है
वो इक घर भूलने में अभी कुछ दिन लगेंगे
मगर अब दिन भी कितने रह गए हैं
बस इक दिन दिल की लौह-ए-मुंतज़िर पर
आचानक
रात उतरेगी
मिरी बे-नूर आँखों के ख़ज़ाने में छुपे हर ख़्वाब की तकमील कर देगी
मुझे भी ख़्वाब में तब्दील कर देगी
इक ऐसा ख़्वाब जस का देखना मुमकिन नहीं था
इक ऐसा ख़्वाब जिस के दामन-ए-सद-चाक में कोई मुबारक कोई रौशन दिन नहीं था
अभी कुछ दिन लगेंगे
-----------------------------
Abhi kuch din lagenge
Dil aise shehar ke paamaal ho jaane ka manzar bhoolne mein
Abhi kuch din lagenge
Jahaan-e-rang ke saare khas-o-khaashaak
Sab sarv-o-sanober bhoolne mein
Abhi kuch din lagenge
Thake haare hue khwaabon ke saahil par kahin
Umeed ka chhota sa ik ghar
Bante bante reh gaya hai
Woh ik ghar bhoolne mein abhi kuch din lagenge
Magar ab din bhi kitne reh gaye hain?
Bas ik din dil ki lauh-e-muntazir par
Achanak raat utregi
Meri be-noor aankhon ke khazaane mein chhupe
Har khwaab ki takmeel kar degi
Mujhe bhi khwaab mein tabdeel kar degi
Ik aisa khwaab jo dekhna mumkin nahi tha
Ik aisa khwaab jis ke daaman-e-sad-chaak mein
Koi mubarak, koi roshan din nahi tha
Abhi kuch din lagenge