1. dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki | दुख और तरह के हैं दुआ और तरह की..

दुख और तरह के हैं दुआ और तरह की
और दामन-ए-क़ातिल की हवा और तरह की

दीवार पे लिक्खी हुई तहरीर है कुछ और
देती है ख़बर ख़ल्क़-ए-ख़ुदा और तरह की

किस दाम उठाएँगे ख़रीदार कि इस बार
बाज़ार में है जिंस-ए-वफ़ा और तरह की

बस और कोई दिन कि ज़रा वक़्त ठहर जाए
सहराओं से आएगी सदा और तरह की

हम कू-ए-मलामत से निकल आए तो हम को
रास आई न फिर आब-ओ-हवा और तरह की

----------------------------------

dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki
aur daaman-e-qaatil ki hawa aur tarah ki

deewaar pe likkhi hui tahreer hai kuchh aur
deti hai khabar khalk-e-khuda aur tarah ki

kis daam uthaayenge khareedaar ki is baar
bazaar mein hai jins-e-wafa aur tarah ki

bas aur koi din ki zara waqt thehar jaaye
seharaaon se aayegi sada aur tarah ki

ham koo-e-malaamat se nikal aaye to ham ko
raas aayi na phir aab-o-hawa aur tarah ki 
Read more

2. khwaab-e-deerina se ruksat ka sabab poochte hain | ख़्वाब-ए-देरीना से रुख़्सत का सबब पूछते हैं..

ख़्वाब-ए-देरीना से रुख़्सत का सबब पूछते हैं
चलिए पहले नहीं पूछा था तो अब पूछते हैं

कैसे ख़ुश-तबा हैं इस शहर-ए-दिल-आज़ार के लोग
मौज-ए-ख़ूँ सर से गुज़र जाती है तब पूछते हैं

अहल-ए-दुनिया का तो क्या ज़िक्र कि दीवानों को
साहिबान-ए-दिल-ए-शोरीदा भी कब पूछते हैं

ख़ाक उड़ाती हुई रातें हों कि भीगे हुए दिन
अव्वल-ए-सुब्ह के ग़म आख़िर-ए-शब पूछते हैं

एक हम ही तो नहीं हैं जो उठाते हैं सवाल
जितने हैं ख़ाक-बसर शहर के सब पूछते हैं

यही मजबूर यही मोहर-ब-लब बे-आवाज़
पूछने पर कभी आएँ तो ग़ज़ब पूछते हैं

करम-ए-मसनद-ओ-मिम्बर कि अब अरबाब-ए-हकम
ज़ुल्म कर चुकते हैं तब मर्ज़ी-ए-रब पूछते हैं

--------------------------------------

khwaab-e-deerina se ruksat ka sabab poochte hain
chaliye pehle nahin poocha tha to ab poochte hain

kaise khush-taba hain is shahr-e-dil-aazaar ke log
mauj-e-khoon sar se guzar jaati hai tab poochte hain

ahl-e-duniya ka to kya zikr ki deewaanon ko
saahibaan-e-dil-e-shoreeda bhi kab poochte hain

khaak udaati hui raatein hon ki bheege hue din
awwal-e-subh ke gham aakhir-e-shab poochte hain

ek ham hi to nahin hain jo uthaate hain sawaal
jitne hain khaak-basar shehar ke sab poochte hain

yahi majboor yahi mohr-b-lab be-aawaaz
poochne par kabhi aayein to gazab poochte hain

karam-e-masnad-o-mimbar ki ab arbaab-e-hukm
zulm kar chukte hain tab marzi-e-rab poochte hain
Read more

3. khwaab dekhne waali aankhen patthar hongi tab sochenge | ख़्वाब देखने वाली आँखें पत्थर होंगी तब सोचेंगे..

ख़्वाब देखने वाली आँखें पत्थर होंगी तब सोचेंगे
सुंदर कोमल ध्यान तितलियाँ बे-पर होंगी तब सोचेंगे

रस बरसाने वाले बादल और तरफ़ क्यूँ उड़ जाते हैं
हरी-भरी शादाब खेतियाँ बंजर होंगी तब सोचेंगे

बस्ती की दीवार पे किस ने अन-होनी बातें लिख दी हैं
इस अनजाने डर की बातें घर घर होंगी तब सोचेंगे

माँगे के फूलों से कब तक रूप-सरूप का मान बढ़ेगा
अपने आँगन की महकारें बे-घर होंगी तब सोचेंगे

बीती रुत की सब पहचानें भूल गए तो फिर क्या होगा
गए दिनों की यादें जब बे-मंज़र होंगी तब सोचेंगे

आने वाले कल का स्वागत कैसे होगा कौन करेगा
जलते हुए सूरज की किरनें सर पर होंगी तब सोचेंगे

--------------------------------------

khwaab dekhne waali aankhen patthar hongi tab sochenge
sundar komal dhyaan titliyan be-par hongi tab sochenge

ras barsaane waale baadal aur taraf kyun ud jaate hain
haree-bharee shaadaab khetiyan banjar hongi tab sochenge

basti ki deewaar pe kis ne an-honi baatein likh di hain
is anjaane dar ki baatein ghar ghar hongi tab sochenge

maange ke phoolon se kab tak roop-suroop ka maan badhega
apne aangan ki mehkaare'n be-ghar hongi tab sochenge

beeti rut ki sab pahchaanein bhool gaye to phir kya hoga
gaye dinon ki yaadein jab be-manzar hongi tab sochenge

aane waale kal ka swaagat kaise hoga kaun karega
jalte hue suraj ki kirnen sar par hongi tab sochenge 
Read more

4. ye bastiyaan hain ki maqtal dua kiye jaayen | ये बस्तियाँ हैं कि मक़्तल दुआ किए जाएँ..

ये बस्तियाँ हैं कि मक़्तल दुआ किए जाएँ
दुआ के दिन हैं मुसलसल दुआ किए जाएँ

कोई फ़ुग़ाँ कोई नाला कोई बुका कोई बैन
खुलेगा बाब-ए-मुक़फ़्फ़ल दुआ किए जाएँ

ये इज़्तिराब ये लम्बा सफ़र ये तन्हाई
ये रात और ये जंगल दुआ किए जाएँ

बहाल हो के रहेगी फ़ज़ा-ए-ख़ित्ता-ए-ख़ैर
ये हब्स होगा मोअ'त्तल दुआ किए जाएँ

गुज़िश्तगान-ए-मोहब्बत के ख़्वाब की सौगंद
वो ख़्वाब होगा मुकम्मल दुआ किए जाएँ

हवाए सरकश ओ सफ़्फ़ाक के मुक़ाबिल भी
ये दिल बुझेंगे न मिशअल दुआ किए जाएँ

ग़ुबार उड़ाती झुलसती हुई ज़मीनों पर
उमँड के आएँगे बादल दुआ किए जाएँ

क़ुबूल होना मुक़द्दर है हर्फ़-ए-ख़ालिस का
हर एक आन हर इक पल दुआ किए जाएँ

----------------------------------

ye bastiyaan hain ki maqtal dua kiye jaayen
dua ke din hain musalsal dua kiye jaayen

koi fugaan koi naala koi bukaa koi bein
khulega baab-e-muqaffal dua kiye jaayen

ye iztiraab ye lamba safar ye tanhaai
ye raat aur ye jungle dua kiye jaayen

bahaal ho ke rahegi faza-e-khitta-e-khair
ye habs hoga mo'attal dua kiye jaayen

guzishtagaan-e-mohabbat ke khwaab ki saugand
vo khwaab hoga mukammal dua kiye jaayen

hawaaye sarkash o saffaaq ke muqaabil bhi
ye dil bujhenge na mish'aal dua kiye jaayen

ghubaar udaati jhulsati hui zameenon par
umand ke aayenge baadal dua kiye jaayen

qubool hona muqaddar hai harf-e-khaalis ka
har ek aan har ik pal dua kiye jaayen 
Read more

5. sar-e-baam-e-hijr diya bujha to khabar hui | सर-ए-बाम-ए-हिज्र दिया बुझा तो ख़बर हुई..

सर-ए-बाम-ए-हिज्र दिया बुझा तो ख़बर हुई
सर-ए-शाम कोई जुदा हुआ तो ख़बर हुई

मिरा ख़ुश-ख़िराम बला का तेज़-ख़िराम था
मिरी ज़िंदगी से चला गया तो ख़बर हुई

मिरे सारे हर्फ़ तमाम हर्फ़ अज़ाब थे
मिरे कम-सुख़न ने सुख़न किया तो ख़बर हुई

कोई बात बन के बिगड़ गई तो पता चला
मिरे बेवफ़ा ने करम किया तो ख़बर हुई

मिरे हम-सफ़र के सफ़र की सम्त ही और थी
कहीं रास्ता कोई गुम हुआ तो ख़बर हुई

मिरे क़िस्सा-गो ने कहाँ कहाँ से बढ़ाई बात
मुझे दास्ताँ का सिरा मिला तो ख़बर हुई

न लहू का मौसम-ए-रंग-रेज़ न दिल न मैं
कोई ख़्वाब था कि बिखर गया तो ख़बर हुई

---------------------------------

sar-e-baam-e-hijr diya bujha to khabar hui
sar-e-shaam koi juda hua to khabar hui

mera khush-khiraam bala ka tez-khiraam tha
meri zindagi se chala gaya to khabar hui

mere saare harf tamaam harf azaab the
mere kam-sukhan ne sukhun kiya to khabar hui

koi baat ban ke bigad gai to pata chala
mere bewafa ne karam kiya to khabar hui

mere hum-safar ke safar ki samt hi aur thi
kahi raasta koi gum hua to khabar hui

mere qissa-go ne kahaan kahaan se badhaai baat
mujhe dastaan ka sira mila to khabar hui

na lahu ka mausam-e-rang-rez na dil na main
koi khwaab tha ki bikhar gaya to khabar hui
Read more

6. ahl-e-mohabbat ki majboori badhti jaati hai | अहल-ए-मोहब्बत की मजबूरी बढ़ती जाती है..

अहल-ए-मोहब्बत की मजबूरी बढ़ती जाती है
मिट्टी से गुलाब की दूरी बढ़ती जाती है

मेहराबों से महल-सरा तक ढेरों-ढेर चराग़
जलते जाते हैं बे-नूरी बढ़ती जाती है

कारोबार में अब के ख़सारा और तरह का है
काम नहीं बढ़ता मज़दूरी बढ़ती जाती है

जैसे जैसे जिस्म तशफ़्फ़ी पाता जाता है
वैसे वैसे क़ल्ब से दूरी बढ़ती जाती है

गिर्या-ए-नीम-शबी की ने'मत जब से बहाल हुई
हर लहज़ा उम्मीद-ए-हुज़ूरी बढ़ती जाती है

-----------------------------------

ahl-e-mohabbat ki majboori badhti jaati hai
mitti se gulaab ki doori badhti jaati hai

mehraabo'n se mahl-saraa tak dhero'n-dher charaagh
jalte jaate hain be-noori badhti jaati hai

kaarobaar mein ab ke khasaara aur tarah ka hai
kaam nahin badhta mazdoori badhti jaati hai

jaise jaise jism tashaffi paata jaata hai
vaise vaise qalb se doori badhti jaati hai

giryaa-e-neem-shabee ki ne'mat jab se bahaal hui
har lahza ummeed-e-huzoori badhti jaati hai
Read more

7. ye ab khula ki koi bhi manzar mera na tha | ये अब खुला कि कोई भी मंज़र मिरा न था..

ये अब खुला कि कोई भी मंज़र मिरा न था
मैं जिस में रह रहा था वही घर मिरा न था

मैं जिस को एक उम्र सँभाले फिरा किया
मिट्टी बता रही है वो पैकर मिरा न था

मौज-ए-हवा-ए-शहर-ए-मुक़द्दर जवाब दे
दरिया मिरे न थे कि समुंदर मिरा न था

फिर भी तो संगसार किया जा रहा हूँ मैं
कहते हैं नाम तक सर-ए-महज़र मिरा न था

सब लोग अपने अपने क़बीलों के साथ थे
इक मैं ही था कि कोई भी लश्कर मिरा न था

-------------------------------

ye ab khula ki koi bhi manzar mera na tha
main jis mein rah raha tha wahi ghar mera na tha

main jis ko ek umr sambhaale fira kiya
mitti bata rahi hai vo paikar mera na tha

mauj-e-hawaa-e-shahr-e-muqaddar jawaab de
dariya mere na the ki samundar mera na tha

phir bhi to sangsaar kiya ja raha hoon main
kahte hain naam tak sar-e-mahzar mera na tha

sab log apne apne qabeelon ke saath the
ik main hi tha ki koi bhi lashkar mera na tha 

Read more

8. dost kya khud ko bhi pursish ki ijaazat nahin di | दोस्त क्या ख़ुद को भी पुर्सिश की इजाज़त नहीं दी..

दोस्त क्या ख़ुद को भी पुर्सिश की इजाज़त नहीं दी
दिल को ख़ूँ होने दिया आँख को ज़हमत नहीं दी

हम भी उस सिलसिला-ए-इश्क़ में बैअत हैं जिसे
हिज्र ने दुख न दिया वस्ल ने राहत नहीं दी

हम भी इक शाम बहुत उलझे हुए थे ख़ुद में
एक शाम उस को भी हालात ने मोहलत नहीं दी

आजिज़ी बख़्शी गई तमकनत-ए-फ़क़्र के साथ
देने वाले ने हमें कौन सी दौलत नहीं दी

बेवफ़ा दोस्त कभी लौट के आए तो उन्हें
हम ने इज़हार-ए-नदामत की अज़िय्यत नहीं दी

दिल कभी ख़्वाब के पीछे कभी दुनिया की तरफ़
एक ने अज्र दिया एक ने उजरत नहीं दी

--------------------------------------

dost kya khud ko bhi pursish ki ijaazat nahin di
dil ko khun hone diya aankh ko zahmat nahin di

ham bhi us silsila-e-ishq mein bai'at hain jise
hijr ne dukh na diya vasl ne raahat nahin di

ham bhi ik shaam bahut uljhe hue the khud mein
ek shaam us ko bhi haalaat ne mohlat nahin di

aajizi bakshi gai tamaknat-e-fakr ke saath
dene waale ne hamein kaun si daulat nahin di

bewafa dost kabhi laut ke aaye to unhen
ham ne izhaar-e-nadaamat ki aziyyat nahin di

dil kabhi khwaab ke peeche kabhi duniya ki taraf
ek ne ajr diya ek ne ujrat nahin di 
Read more

9. ham apne raftagaan ko yaad rakhna chahte hain | हम अपने रफ़्तगाँ को याद रखना चाहते हैं..

हम अपने रफ़्तगाँ को याद रखना चाहते हैं
दिलों को दर्द से आबाद रखना चाहते हैं

मुबादा मुंदमिल ज़ख़्मों की सूरत भूल ही जाएँ
अभी कुछ दिन ये घर बरबाद रखना चाहते हैं

बहुत रौनक़ थी उन के दम क़दम से शहर-ए-जाँ में
वही रौनक़ हम उन के बा'द रखना चाहते हैं

बहुत मुश्किल ज़मानों में भी हम अहल-ए-मोहब्बत
वफ़ा पर इश्क़ की बुनियाद रखना चाहते हैं

सरों में एक ही सौदा कि लौ देने लगे ख़ाक
उमीदें हस्ब-ए-इस्तेदाद रखना चाहते हैं

कहीं ऐसा न हो हर्फ़-ए-दुआ मफ़्हूम खो दे
दुआ को सूरत-ए-फ़रियाद रखना चाहते हैं

क़लम आलूदा-ए-नान-ओ-नमक रहता है फिर भी
जहाँ तक हो सके आज़ाद रखना चाहते हैं

-------------------------------------

ham apne raftagaan ko yaad rakhna chahte hain
dilon ko dard se aabaad rakhna chahte hain

mubaada mundamil zakhamon ki soorat bhool hi jaayen
abhi kuchh din ye ghar barbaad rakhna chahte hain

bahut raunaq thi un ke dam qadam se shahr-e-jaan mein
wahi raunaq ham un ke ba'ad rakhna chahte hain

bahut mushkil zamaanon mein bhi ham ahl-e-mohabbat
wafa par ishq ki buniyaad rakhna chahte hain

saroon mein ek hi sauda ki lau dene lage khaak
umeedein hasb-e-istedaad rakhna chahte hain

kahi aisa na ho harf-e-dua mafhoom kho de
dua ko soorat-e-fariyaad rakhna chahte hain

qalam aalooda-e-naan-o-namak rehta hai phir bhi
jahaan tak ho sake azaad rakhna chahte hain 
Read more

10. sitaara-waar jale phir bujha diye gaye ham | सितारा-वार जले फिर बुझा दिए गए हम..

सितारा-वार जले फिर बुझा दिए गए हम
फिर इस के बा'द नज़र से गिरा दिए गए हम

अज़ीज़ थे हमीं नौ-वारिदान-ए-कूचा-ए-इश्क़
सो पीछे हटते गए रास्ता दिए गए हम

शिकस्त ओ फ़त्ह के सब फ़ैसले हुए कहीं और
मिसाल-ए-माल-ए-ग़नीमत लुटा दिए गए हम

ज़मीन फ़र्श-ए-गुल-ओ-लाला से सजाई गई
फिर इस ज़मीं की अमानत बना दिए गए हम

दुआएँ याद करा दी गई थीं बचपन में
सो ज़ख़्म खाते रहे और दुआ दिए गए हम

---------------------------------

sitaara-waar jale phir bujha diye gaye ham
phir is ke ba'ad nazar se gira diye gaye ham

aziz the humeen nau-waaridaan-e-koocha-e-ishq
so peeche hatte gaye raasta diye gaye ham

shikast o fath ke sab faisley hue kahi aur
misaal-e-maal-e-ghaneemat luta diye gaye ham

zameen farsh-e-gul-o-laala se sajaai gai
phir is zameen ki amaanat bana diye gaye ham

duaaein yaad kara di gai theen bachpan mein
so zakham khaate rahe aur dua diye gaye ham
Read more

11. khazaana-e-zar-o-gauhar pe khaak daal ke rakh | खज़ाना-ए-ज़र-ओ-गौहर पे ख़ाक डाल के रख..

खज़ाना-ए-ज़र-ओ-गौहर पे ख़ाक डाल के रख
हम अहल-ए-मेहर-ओ-मोहब्बत हैं दिल निकाल के रख

हमें तो अपने समुंदर की रेत काफ़ी है
तू अपने चश्मा-ए-बे-फ़ैज़ को सँभाल के रख

ज़रा सी देर का है ये उरूज-ए-माल-ओ-मनाल
अभी से ज़ेहन में सब ज़ाविए ज़वाल के रख

ये बार बार किनारे पे किस को देखता है
भँवर के बीच कोई हौसला उछाल के रख

न जाने कब तुझे जंगल में रात पड़ जाए
ख़ुद अपनी आग से शो'ला कोई उजाल के रख

जवाब आए न आए सवाल उठा तो सही
फिर इस सवाल में पहलू नए सवाल के रख

तिरी बला से गिरोह-ए-जुनूँ पे क्या गुज़री
तू अपना दफ़्तर-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ सँभाल के रख

छलक रहा है जो कश्कोल-ए-आरज़ू उस में
किसी फ़क़ीर के क़दमों की ख़ाक डाल के रख

--------------------------------------------------

khazaana-e-zar-o-gauhar pe khaak daal ke rakh
ham ahl-e-mehr-o-mohabbat hain dil nikaal ke rakh

hamein to apne samundar ki ret kaafi hai
tu apne chashma-e-be-faiz ko sanbhaal ke rakh

zara si der ka hai ye urooj-e-maal-o-manaal
abhi se zehan mein sab zaaviye zawaal ke rakh

ye baar baar kinaare pe kis ko dekhta hai
bhanwar ke beech koi hausla uchaal ke rakh

na jaane kab tujhe jungle mein raat pad jaaye
khud apni aag se shola koi ujaal ke rakh

jawaab aaye na aaye sawaal utha to sahi
phir is sawaal mein pahluu naye sawaal ke rakh

tiri bala se giroh-e-junoon pe kya guzri
tu apna daftar-e-sood-o-ziyaan sanbhaal ke rakh

chhalk raha hai jo kashkol-e-aarzoo us mein
kisi faqeer ke qadmon ki khaak daal ke rakh 
Read more

12. ye basti jaani-pahchaani bahut hai | ये बस्ती जानी-पहचानी बहुत है..

ये बस्ती जानी-पहचानी बहुत है
यहाँ वा'दों की अर्ज़ानी बहुत है

शगुफ़्ता लफ़्ज़ लिक्खे जा रहे हैं
मगर लहजों में वीरानी बहुत है

सुबुक-ज़र्फ़ों के क़ाबू में नहीं लफ़्ज़
मगर शौक़-ए-गुल-अफ़्शानी बहुत है

है बाज़ारों में पानी सर से ऊँचा
मिरे घर में भी तुग़्यानी बहुत है

न जाने कब मिरे सहरा में आए
वो इक दरिया कि तूफ़ानी बहुत है

न जाने कब मिरे आँगन में बरसे
वो इक बादल कि नुक़सानी बहुत है

-----------------------------------

ye basti jaani-pahchaani bahut hai
yahan va'don ki arzaani bahut hai

shagufta lafz likkhe ja rahe hain
magar lahjon mein veeraani bahut hai

subuk-zarfon ke qaabu mein nahin lafz
magar shauq-e-gul-afshaani bahut hai

hai bazaaron mein paani sar se ooncha
mere ghar mein bhi tughyaani bahut hai

na jaane kab mere sehra mein aaye
vo ik dariya ki toofaani bahut hai

na jaane kab mere aangan mein barase
vo ik baadal ki nuqsaani bahut hai 
Read more

13. gali-koochon mein hangaama bapaa karna padega | गली-कूचों में हंगामा बपा करना पड़ेगा..

गली-कूचों में हंगामा बपा करना पड़ेगा
जो दिल में है अब उस का तज़्किरा करना पड़ेगा

नतीजा कर्बला से मुख़्तलिफ़ हो या वही हो
मदीना छोड़ने का फ़ैसला करना पड़ेगा

वो क्या मंज़िल जहाँ से रास्ते आगे निकल जाएँ
सो अब फिर इक सफ़र का सिलसिला करना पड़ेगा

लहू देने लगी है चश्म-ए-ख़ूँ-बस्ता सो इस बार
भरी आँखों से ख़्वाबों को रिहा करना पड़ेगा

मुबादा क़िस्सा-ए-अहल-ए-जुनूँ ना-गुफ़्ता रह जाए
नए मज़मून का लहजा नया करना पड़ेगा

दरख़्तों पर समर आने से पहले आए थे फूल
फलों के बा'द क्या होगा पता करना पड़ेगा

गँवा बैठे तिरी ख़ातिर हम अपने महर ओ माहताब
बता अब ऐ ज़माने और क्या करना पड़ेगा

----------------------------------

gali-koochon mein hangaama bapaa karna padega
jo dil mein hai ab us ka tazkira karna padega

nateeja karbala se mukhtalif ho ya wahi ho
madeena chhodne ka faisla karna padega

vo kya manzil jahaan se raaste aage nikal jaayen
so ab phir ik safar ka silsila karna padega

lahu dene lagi hai chashm-e-khun-basta so is baar
bhari aankhon se khwaabon ko rihaa karna padega

mubaada qissa-e-ahl-e-junoon na-gufta rah jaaye
naye mazmoon ka lahja naya karna padega

darakhton par samar aane se pehle aaye the phool
falon ke ba'ad kya hoga pata karna padega

ganwa baithe tiri khaatir ham apne mehr o mahtaab
bata ab ai zamaane aur kya karna padega 
Read more

14. umeed-o-beem ke mehwar se hat ke dekhte hain | उमीद-ओ-बीम के मेहवर से हट के देखते हैं..

उमीद-ओ-बीम के मेहवर से हट के देखते हैं
ज़रा सी देर को दुनिया से कट के देखते हैं

बिखर चुके हैं बहुत बाग़ ओ दश्त ओ दरिया में
अब अपने हुजरा-ए-जाँ में सिमट के देखते हैं

तमाम ख़ाना-ब-दोशों में मुश्तरक है ये बात
सब अपने अपने घरों को पलट के देखते हैं

फिर इस के बा'द जो होना है हो रहे सर-ए-दस्त
बिसात-ए-आफ़ियत-ए-जाँ उलट के देखते हैं

वही है ख़्वाब जिसे मिल के सब ने देखा था
अब अपने अपने क़बीलों में बट के देखते हैं

सुना ये है कि सुबुक हो चली है क़ीमत-ए-हर्फ़
सो हम भी अब क़द-ओ-क़ामत में घट के देखते हैं

--------------------------------

umeed-o-beem ke mehwar se hat ke dekhte hain
zara si der ko duniya se kat ke dekhte hain

bikhar chuke hain bahut baagh o dasht o dariya mein
ab apne hujra-e-jaan mein simat ke dekhte hain

tamaam khaana-b-doshon mein mushtarik hai ye baat
sab apne apne gharo ko palat ke dekhte hain

phir is ke ba'ad jo hona hai ho rahe sar-e-dast
bisaat-e-aafiyat-e-jaan ult ke dekhte hain

wahi hai khwaab jise mil ke sab ne dekha tha
ab apne apne qabeelon mein bat ke dekhte hain

suna ye hai ki subuk ho chali hai qiimat-e-harf
so ham bhi ab qad-o-qamat mein ghat ke dekhte hain
Read more

15. wafa ki khair manaata hoon bewafaai mein bhi | वफ़ा की ख़ैर मनाता हूँ बेवफ़ाई में भी..

वफ़ा की ख़ैर मनाता हूँ बेवफ़ाई में भी
मैं उस की क़ैद में हूँ क़ैद से रिहाई में भी

लहू की आग में जल-बुझ गए बदन तो खुला
रसाई में भी ख़सारा है ना-रसाई में भी

बदलते रहते हैं मौसम गुज़रता रहता है वक़्त
मगर ये दिल कि वहीं का वहीं जुदाई में भी

लिहाज़-ए-हुर्मत-ए-पैमाँ न पास-ए-हम-ख़्वाबी
अजब तरह के तसादुम थे आश्नाई में भी

मैं दस बरस से किसी ख़्वाब के अज़ाब में हूँ
वही अज़ाब दर आया है इस दहाई में भी

तसादुम-ए-दिल-ओ-दुनिया में दिल की हार के बा'द
हिजाब आने लगा है ग़ज़ल-सराई में भी

मैं जा रहा हूँ अब उस की तरफ़ उसी की तरफ़
जो मेरे साथ था मेरी शिकस्ता-पाई में भी

-------------------------------------

wafa ki khair manaata hoon bewafaai mein bhi
main us ki qaid mein hoon qaid se rihaai mein bhi

lahu ki aag mein jal-bujh gaye badan to khula
rasai mein bhi khasaara hai na-rasaai mein bhi

badalte rahte hain mausam guzarta rehta hai waqt
magar ye dil ki wahin ka wahin judaai mein bhi

lihaaz-e-hurmat-e-paema'n na paas-e-hum-khwaabi
ajab tarah ke tasaadum the aashnaai mein bhi

main das baras se kisi khwaab ke azaab mein hoon
wahin azaab dar aaya hai is dahaai mein bhi

tasaadum-e-dil-o-duniya mein dil ki haar ke ba'ad
hijaab aane laga hai ghazal-saraai mein bhi

main ja raha hoon ab us ki taraf usi ki taraf
jo mere saath tha meri shikasta-paai mein bhi 

Read more

16. basti bhi samundar bhi biyaabaan bhi mera hai | बस्ती भी समुंदर भी बयाबाँ भी मिरा है..

बस्ती भी समुंदर भी बयाबाँ भी मिरा है
आँखें भी मिरी ख़्वाब-ए-परेशाँ भी मिरा है

जो डूबती जाती है वो कश्ती भी है मेरी
जो टूटता जाता है वो पैमाँ भी मिरा है

जो हाथ उठे थे वो सभी हाथ थे मेरे
जो चाक हुआ है वो गिरेबाँ भी मिरा है

जिस की कोई आवाज़ न पहचान न मंज़िल
वो क़ाफ़िला-ए-बे-सर-ओ-सामाँ भी मिरा है

वीराना-ए-मक़तल पे हिजाब आया तो इस बार
ख़ुद चीख़ पड़ा मैं कि ये उनवाँ भी मिरा है

वारफ़्तगी-ए-सुब्ह-ए-बशारत को ख़बर क्या
अंदेशा-ए-सद-शाम-ए-ग़रीबाँ भी मिरा है

मैं वारिस-ए-गुल हूँ कि नहीं हूँ मगर ऐ जान
ख़मयाज़ा-ए-तौहीन-ए-बहाराँ भी मिरा है

मिट्टी की गवाही से बड़ी दिल की गवाही
यूँ हो तो ये ज़ंजीर ये ज़िंदाँ भी मिरा है

------------------------------------------

basti bhi samundar bhi biyaabaan bhi mera hai
aankhen bhi meri khwaab-e-pareshaan bhi mera hai

jo doobti jaati hai vo kashti bhi hai meri
jo tootaa jaata hai vo paimaan bhi mera hai

jo haath uthe the vo sabhi haath the mere
jo chaak hua hai vo girebaan bhi mera hai

jis ki koi awaaz na pehchaan na manzil
vo qaafila-e-be-sar-o-saamaan bhi mera hai

veeraana-e-maqtal pe hijaab aaya to is baar
khud cheekh pada main ki ye unwaan bhi mera hai

waarftagi-e-subh-e-bashaarat ko khabar kya
andesha-e-sad-shaam-e-ghareeba'n bhi mera hai

main waaris-e-gul hoon ki nahin hoon magar ai jaan
khamyaaza-e-tauheen-e-bahaara'n bhi mera hai

mitti ki gawaahi se badi dil ki gawaahi
yun ho to ye zanjeer ye zindaan bhi mera hai 
Read more

17. junoon ka rang bhi ho shola-e-numoo ka bhi ho | जुनूँ का रंग भी हो शोला-ए-नुमू का भी हो..

जुनूँ का रंग भी हो शोला-ए-नुमू का भी हो
सुकूत-ए-शब में इक अंदाज़ गुफ़्तुगू का भी हो

मैं जिस को अपनी गवाही में ले के आया हूँ
अजब नहीं कि वही आदमी अदू का भी हो

वो जिस के चाक-ए-गरेबाँ पे तोहमतें हैं बहुत
उसी के हाथ में शायद हुनर रफ़ू का भी हो

वो जिस के डूबते ही नाव डगमगाने लगी
किसे ख़बर वही तारा सितारा-जू का भी हो

सुबूत-ए-मोहकमी-ए-जाँ थी जिस की बुर्रीश-नाज़
उसी की तेग़ से रिश्ता रग-ए-गुलू का भी हो

वफ़ा के बाब में कार-ए-सुख़न तमाम हुआ
मिरी ज़मीन पे इक मा'रका लहू का भी हो

---------------------------------------------------

junoon ka rang bhi ho shola-e-numoo ka bhi ho
sukoot-e-shab mein ik andaaz guftugoo ka bhi ho

main jis ko apni gawaahi mein le ke aaya hoon
ajab nahin ki wahi aadmi adoo ka bhi ho

vo jis ke chaak-e-garebaan pe tohmaten hain bahut
usi ke haath mein shaayad hunar rafu ka bhi ho

vo jis ke doobte hi naav dagmagane lagi
kise khabar wahi taara sitaara-joo ka bhi ho

suboot-e-mohkami-e-jaan thi jis ki burrish-naaz
usi ki teg se rishta rag-e-guloo ka bhi ho

wafa ke baab mein kaar-e-sukhan tamaam hua
meri zameen pe ik ma'arka lahu ka bhi ho 
Read more

18. mansab na kulaah chahta hoon | मंसब न कुलाह चाहता हूँ..

मंसब न कुलाह चाहता हूँ
तन्हा हूँ गवाह चाहता हूँ

ऐ अजर-ए-अज़ीम देने वाले!
तौफ़ीक़-ए-गुनाह चाहता हूँ

मैं शोलगी-ए-वजूद के बीच
इक ख़त्त-ए-सियाह चाहता हूँ

डरता हूँ बहुत बुलंदियों से
पस्ती से निबाह चाहता हूँ

वो दिन कि तुझे भी भूल जाऊँ
उस दिन से पनाह चाहता हूँ

-----------------------------------------------------

mansab na kulaah chahta hoon
tanhaa hoon gawaah chahta hoon

ai azar-e-azeem dene waale
taufeeq-e-gunaah chahta hoon

main sholagi-e-wujood ke beech
ik khatt-e-siyaah chahta hoon

darta hoon bahut bulandiyon se
pasti se nibaah chahta hoon

vo din ki tujhe bhi bhool jaaun
us din se panaah chahta hoon 
Read more

19. kuchh bhi nahin kahi nahin khwaab ke ikhtiyaar mein | कुछ भी नहीं कहीं नहीं ख़्वाब के इख़्तियार में..

कुछ भी नहीं कहीं नहीं ख़्वाब के इख़्तियार में
रात गुज़ार दी गई सुब्ह के इंतिज़ार में

बाब-ए-अता के सामने अहल-ए-कमाल का हुजूम
जिन को था सर-कशी पे नाज़ वो भी इसी क़तार में

जैसे फ़साद-ए-ख़ून से जिल्द-ए-बदन पे दाग़-ए-बर्स
दिल की सियाहियाँ भी हैं दामन-ए-दाग़-दार में

वक़्त की ठोकरों में है उक़दा-कुशाइयों को ज़ो'म
कैसी उलझ रही है डोर नाख़ुन-ए-होश्यार में

आएगा आएगा वो दिन हो के रहेगा सब हिसाब
वक़्त भी इंतिज़ार में ख़ल्क़ भी इंतिज़ार में

जैसी लगी थी दिल में आग वैसी ग़ज़ल बनी नहीं
लफ़्ज़ ठहर नहीं सके दर्द की तेज़ धार में

---------------------------------------

kuchh bhi nahin kahi nahin khwaab ke ikhtiyaar mein
raat guzaar di gai subh ke intizaar mein

baab-e-ata ke saamne ahl-e-kamaal ka hujoom
jin ko tha sar-kashi pe naaz vo bhi isee qataar mein

jaise fasaad-e-khoon se jild-e-badan pe daagh-e-bars
dil ki siyahiyaan bhi hain daaman-e-daagh-daar mein

waqt ki thokron mein hai uqda-kushaaiyon ko zo'm
kaisi uljh rahi hai dor nakhun-e-hoshyaar mein

aayega aayega vo din ho ke rahega sab hisaab
waqt bhi intizaar mein khalk bhi intizaar mein

jaisi lagi thi dil mein aag waisi ghazal bani nahin
lafz thehar nahin sake dard ki tez dhaar mein 

Read more

20. khauf ke sail-e-musalsal se nikale mujhe koi | ख़ौफ़ के सैल-ए-मुसलसल से निकाले मुझे कोई..

ख़ौफ़ के सैल-ए-मुसलसल से निकाले मुझे कोई
मैं पयम्बर तो नहीं हूँ कि बचा ले मुझे कोई

अपनी दुनिया के मह-ओ-मेहर समेटे सर-ए-शाम
कर गया जादा-ए-फ़र्दा के हवाले मुझे कोई

इतनी देर और तवक़्क़ुफ़ कि ये आँखें बुझ जाएँ
किसी बे-नूर ख़राबे में उजाले मुझे कोई

किस को फ़ुर्सत है कि ता'मीर करे अज़-सर-ए-नौ
ख़ाना-ए-ख़्वाब के मलबे से निकाले मुझे कोई

अब कहीं जा के समेटी है उमीदों की बिसात
वर्ना इक उम्र की ज़िद थी कि सँभाले मुझे कोई

क्या अजब ख़ेमा-ए-जाँ तेरी तनाबें कट जाएँ
इस से पहले कि हवाओं में उछाले मुझे कोई

कैसी ख़्वाहिश थी कि सोचो तो हँसी आती है
जैसे मैं चाहूँ उसी तरह बना ले मुझे कोई

तेरी मर्ज़ी मिरी तक़दीर कि तन्हा रह जाऊँ
मगर इक आस तो दे पालने वाले मुझे कोई

-------------------------------------------

khauf ke sail-e-musalsal se nikale mujhe koi
main payambar to nahin hoon ki bacha le mujhe koi

apni duniya ke mah-o-mehr samete sar-e-shaam
kar gaya jaada-e-farda ke hawaale mujhe koi

itni der aur tavakkuf ki ye aankhen bujh jaayen
kisi be-noor kharaabe mein ujaale mujhe koi

kis ko furqat hai ki ta'aamir kare az-sar-e-nau
khana-e-khwaab ke malbe se nikale mujhe koi

ab kahi ja ke sameti hai umeedon ki bisaat
warna ik umr ki zid thi ki sambhaale mujhe koi

kya ajab khema-e-jaan teri tanaabein kat jaayen
is se pehle ki hawaon mein uchaale mujhe koi

kaisi khwaahish thi ki socho to hasi aati hai
jaise main chaahoon usi tarah bana le mujhe koi

teri marzi meri taqdeer ki tanhaa rah jaaun
magar ik aas to de paalne waale mujhe koi 

Read more